A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Raat bey-hud chup hai
Aur us ka andhera surmageen
Shaam partey hi damaktey thay jo ranhon mein nageen
Duur tak bhi ab kaheen
Us ka nishaan milta nahi

Ab tou barhta aaey ga
Ghan-ghor baadal chaah ka
Us mein behti aaey gi
Ek mud-bhari meethi sada
Dil ke sooney sheher mein goonjey ga naghma chaah ka

Raat ke pardey mein chup kar khoon rulaati chaahato
Iss qadar kiu duur ho
Mujh sey zara ye tou kaho
Mere paas aa kar kabhi meri kahaani bhi suno
Siskiyaan leti hawaaein keh rahi hain "chup raho"


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]