A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Shikwa karoon main kab tak us apney meherbaan ka
Al-qissa rafta rafta dushman hua hai jaan ka

Di aag-e-gul ne waan aey saba chaman ko
Yaan hum jaley qafas mein sun haal aashiyaan ka

Har subah mere sar par ik haadisa naya hai
Paiwund ho zameen ka shaiwa iss aasmaan ka

Hum-fursati jahaan je majma'a k kuch na pucho
Ahwaal kia kahoon main is majlis-e-rawaan ka

Ya roey ya rulaaey apni yun hi guzri
Kia zikr hum safeeraan yaaraan-e-shaadmaan ka

Qayd-e-qafas mein hain tou khidmat hai naaligee ki
Gulshan mein thay tou hum ko mansub tha rauza-khwaan ka

Poocho tou Meer sey kia koee naar para hai
Chehra utar raha hai kuch aaj us jawaan ka


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]