A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Ulti ho gaeen sab tadbeerein kuch na dawa ney kaam kiya
Dekha is beemaari-e-dil ney aakhir kaam tamaam kiya

Ahd-e-wafa ro ro karta peeri mein leen aankhein moond
Yaani raat bohot thi, jaagey, subah hui araam kiya

Naa-haq hum majbooron pe ye tohmat hai mukhtaari ki
Chaahtey hain so aap karein, hum ko abas budnaam kiya

Sarzad hum sey bey-adabi tou wehshat mein bhi kam hi hui
Koson us ki awr gaey, par sajda har har gaam kiya

Aisey aah-o-ehram-khurda ke wehshat khoni mushkil hai
Seher kiya, aijaaz kiya, jin logon ne tujh ko raam kiya

Yaan ke sapais-o-siyaah mein hum ko dakhal hai so itna hai
Raat ko ro ro subah kiya, din ko joon toon shaam kiya

Meer ke deen-o-mazhab ko ab puchtey kia ho un ney tou
Qashqa khaincha, dair mein baitha, kab ka tark Islaam kiya


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]