A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Ye kis khalish ney phir is dil mein aashiyaana kiya
Phir aaj kis ne sukhan hum se ghaaeybaana kiya

Gham-e-jahaan ho, rukh-e-yaar ho ke dast-e-udoo
Sulook jis sey kiya hum ney, aashiqaana kiya

Thay khaak-e-raah bhi hum log, qeher-e-tuufaan bhi
Sahaa tou kia na saha, aur kiya tou kia na kiya

Khusha ke aj har ik mud'daee ke lub par hai
Wo raaz jis ne hamein raand-e-zamaana kiya

Wo heelgaar jo wafa-joo bhi hai jafa-khoo bhi
Kiya bhi Faiz tou kis but se dostaana kiya

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]