A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Dasht-e-tanhai mein aey jaan-e-jahaan larzaan hain
Teri aawaaz ke saaey, tere honton ke saraab
Dasht-e-tanhaai mein duuri ke khas-o-khaak taley
Khil rahey hain tere pehlu ke saman aur gulaab

Uth rahi hai kaheen qurbat se teri saans ki aanch
Apni khushbii mein sulagti hui madham madham
Duur ufaq par chamakti hui qatra qatra
Gir rahi hai teri dil-daar nazar ki shabnam

Iss qadar pyaar se aey jaan-e-jahaan rakha hai
Dil ke rukhsaar pe iss waqt teri yaad ne haath
Yun gumaan hota hai garchey hai abhi subah-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din, aa bhi gai wasl ki raat

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]