Iss qadar musalsal theen, shiddatein judaai ki
Aaj pehli baar main ne, us se bey-wafaai ki
Warna ab talak yun tha khwaahishon ki baarish mein
Ya tou toot kar roya, ya ghzal-saraai ki
Taaj diya tha kal jin ko hum ne teri chaahat mein
Aaj un se majbooran taaza aashnaai ki
Ho chala tha jab mujh ko ikhtalaaf apne se
Tu ne kis ghari zaalim, meri ham-nawaai ki
Tanz-o-taana-o-tohmat, sab hunar hain naaseh ke
Aap se koi puchey, hum ne kia buraai ki
Phir qafas mein shor utha, qiadiyon ka aur Syed
Dekhna uraa dega phir khabar rehaai ki

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.