Iss se pehley ke bey-wafa ho jaaein
Kiun na aey dost, hum juda ho jaaein
Tu kabhi heeray se ban gaya pathar
Hum bhi kal kia se kia ho jaaein
Hum bhi majbooriyon ka uzr karein
Aur kaheen aur mubtala ho jaaein
Ishq bhi khel hai naseebon ka
Khaak ho jaaein, keemiya ho jaaein
Ab ke gar tu miley tou hum tujh se
Aisey liptein teri qabaa ho jaaein
Bandagi hum ne chor di hai Faraz
Kia karein log jab Khuda ho jaaein
Kiun na aey dost, hum juda ho jaaein
Tu kabhi heeray se ban gaya pathar
Hum bhi kal kia se kia ho jaaein
Hum bhi majbooriyon ka uzr karein
Aur kaheen aur mubtala ho jaaein
Ishq bhi khel hai naseebon ka
Khaak ho jaaein, keemiya ho jaaein
Ab ke gar tu miley tou hum tujh se
Aisey liptein teri qabaa ho jaaein
Bandagi hum ne chor di hai Faraz
Kia karein log jab Khuda ho jaaein
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.