Chaand roz aur meri jaan faqat chund hi roz
Zulm ki chaaon mein dum lene pe majboor hain hum
Ik zara aur sitam seh lein, tarap lein, ro lein
Apne ajdaad ki meeraas hai maazoor hain hum
Jism par qayd hai jazbaat pe zanjeer hai
Fikr mabhoos hai guftaar pe taazeerein hain
Aur apni himmat hai ke hum phir bhi jiye jaatey hain
Zindagi kia kisi miflis ki qaba hai
Jis mein har ghari dard ke paiwund lagey jaatey hain
Lekin ab zul ki meyaad ke din thore hain
Ik zara sabar ki fariyaad ke thore hain
Arsa-e-deher ki jhulsee hui weeraani mein
Hum ko rehna hai par yun hi tou nahi rehna hai
Ajnabi haathon ka bey-naam geraan-baar sitam
Aaj sehna hai, hamesha tou nahi sehna hai
Ye teri husn se liptee hui aalaam ki gard
Apni tou roza jawaani ki shikaston ka shumaar
Chaandani raaton ka bekaar dekhta hun dard
Dil ki bey-sund tarap jism ki maayoos pukaar

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.