Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
Wo ja raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
Weeraan hai maey-kada khum-o-saagar udaas hai
Tum kia gaey ke rooth gaey din bahaar ke
Ik fursat-e-gunaah mili, wo bhi chaar din
Dekhey hain hum ne hausley parwar-digaar ke
Duniya ne teri yaad se baigaana kar diya
Tujh se bhi dil-faraib hain gham rozgaar ke
Bhooley se muskura to diye thay wo aaj Faiz
Mat puch walwaley dil-e-naa-kardah-kaar ke

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.