Aaiye haath uthaaein hum bhi
Hum jinhein rasm-e-dua yaad nahi
Hum jinhein soz-e-mohabbat ke siwa
Koi but, koi Khuda yaad nahi
Aaiye arz guzaarein ke nigaar-e-hasti
Zeher-e-imroz mein sheereeni-e-fardaan bhar dey
Wo jinheintab-e-geraan-bari-e-ayyaam nahi
Un ki palkon pe shab-o-roz ko halka kar dey
Jin ki aankhon ko rukh-e-subh ka yaaraa bhi nahi
Unki raaton mein koi shama'a munawwar kar dey
Jin key qadmon ko kisi raah ka sahaara bhi nahi
Un ki nazron pe koi raah ujaagar kar dey
Jin ka deen paravi-e-kazb-o-hidaaya hai un ko
Himat-e-kufr miley, jurrat-e-tehqeeq miley
Jin ke sar muntazir-e-taigh-e-wafa hain un ko
Dast-e-qaatil ko jhatak deney ki taufeeq miley
Ishq ka sarr-e-nehaan jaan-tapaan hai jis se
Aaj iqraar karein aur tapish mitt jaaey
Harf-e-haq dil mein khatakta hai jo kaantey ki tarah
Aaj izhaar karein aur khalish mitt jaaey

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.