Garmi-e-ishq-e-nazaara ka asar tou dekho
Gul khiley jaatey hain wo saaya-e-dar tou dekho
Aisey naadaan tou na thay jaan se guzarney waley
Naaseh-o-rahbar-o-raahguzar tou dekho
Wo tou wo hain tumhein ho jaaey gi ulfat mujh se
Tum ik nazar mera mehboob-e-nazar tou dekho
Wo jo ab chaak giraibaan bhi nahi karte hain
Dekhney waalo kabhi un ka jigar tou dekho
Daam-e-dard ko gulzaar bana rakha hai
Aao ek din dil-e-pur-akhoon ka hunar tou dekho
Subh ki tarah jhamakta hai shab-e-gham ka ufaq
Faiz taabindagi-e-deeda-e-tar tou dekho

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.