A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Gulon mein rung bharey, baad-e-nau-bahaar chaley
Chaley bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chaley

Qafas udaas hai yaaro, saba se kuch tou kaho
Kaheen tou bahr-e-Khdua aaj zikr-e-yaar chaley

Kabhi tou subh teri kunj-e-lub se ho aaghaaz
Kabhi tou shab sar-e-kaakul se mushkbaar chale

Bara hai dard ka rishta, ye dil ghareeb sahi
Tumharey naam pe aaein gey ghum-gusaar chaley

Jo hum pe guzri hai so guzri magar shab-e-hijraan
Hamaarey ashk teri aaqabat sanwaar chaley

Huzoor-e-yaar hui daftar-e-junoon ki talab
Girah mein le ke geraibaan ka taar taar chaley

Muqaam Faiz koi raah mein jacha hi nahi
Jo koo-e-yaar se niley tou soo-e-daar chaley

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]