Hum ke thehrey ajnabi itney madaaaraaton ke baad
Phir banein gey aashnaa kitni mulaaqaaton ke baad
Kab nazar mein aaey gi bey-daagh sabzey ki bahaar
Khoon ke dhabbey dhulein gey kitni barsaaton ke baad
Dil tou chaaha par shikast-e-dil ne mohabbat hi na di
Kuch giley shikwey hi kar lete munaajaaton ke baad
Thay bohot dey-dard kamhey kharm-e-dard-e-ishq ke
Thi bohot bey-maher sub-hein meherbaan raaton ke baad
Un se jo kehne gaey thay Faiz jaan sadqa kiye
An-kahi hi reh gai wo baat sab baaton ke baad

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.