Hum sada hi aisey thay ke yun hi pazeeraai
Jis baar khizaan aai, samjhey ke bahaar aai
Aashob-e-nazar se ki hum ney chaman-araai
Jo shay bhi nazarr aai, gul-rung nazar aai
Ummeed-e-talattuf mein ranjeeda rahey donon
Tu aur teri mehfil, main aur meri tanhaai
Waan millat-e-bul-hawasaan aur shor-e-wafa-jooi
Yaan khilwat-e-kam-sukhaanaan aur lazzat-e-ruswaai
Yak-jaan na ho sakiye anjaana ban sakiye
Youn toot gai dil mein shamsheer-e-shanasaai
Is tan ki taraf dekho jo qatl-gaah-e-dil hai
Kia rakkha hai maqtal mein aey chashm-e-tamashaai

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.