Hum parwarish-e-lauh-o-qalam karte rahein gey
Jo dil pe guzarti hai raqam kartey rahein gey
Asbaab-e-gham-e-ishq baham kartey rahein gey
Weeraani-e-dauraan pe karam kartey rahein gey
Han talkhi-e-ayyaam abhi aur barhey gi
Haan ahl-e-sitam mashq-e-sitam kartey rahein gey
Manzoor ye talkhi ye sitam hum ko gawaara
Dam hai tou madaawa-e-alam karte rahein gey
maey-khaana salaamat hai tou hum surkhi-e-maey sey
Taz'een-e-dar-o-baam-e-haram kartey rahein gey
Baaqi hai lahoo dil mein tou har ask se paida
Rung-e-lub-o-rukhsaar-e-sanam kartey rahein gey
Ek tarz-e-taghaaful hai so wo un ko mubaarak
Ek tarz-e-tammanna hai, so hum kartey rahein gey

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.