Ishq mein jee ko sabr-o-taab nahi
Us se ankhein lageen tou khwaab kahaan
Bey-kali dil hai ke tamaasha hai
Barq mein aisey izteraab kahaan
Hsati apni hai beech mein pardah
Hum na howein tou phir hijaab kahaan
Giriya-e-shab sey surkh hain aankhein
Mujh bala-nosh ko sharaab kahaan
Ishq hai aashiqon ko jalaaney ko
Ye jahannum mein hai azaab kahaan
Mehv hain is qitaabi chehrey ke
Aashiqon ko sar-e-kitaab kahaan
Ishq ka ghar hai Meer se aabaad
Aisey phir khaana-maan kharaab kahaan
Us se ankhein lageen tou khwaab kahaan
Bey-kali dil hai ke tamaasha hai
Barq mein aisey izteraab kahaan
Hsati apni hai beech mein pardah
Hum na howein tou phir hijaab kahaan
Giriya-e-shab sey surkh hain aankhein
Mujh bala-nosh ko sharaab kahaan
Ishq hai aashiqon ko jalaaney ko
Ye jahannum mein hai azaab kahaan
Mehv hain is qitaabi chehrey ke
Aashiqon ko sar-e-kitaab kahaan
Ishq ka ghar hai Meer se aabaad
Aisey phir khaana-maan kharaab kahaan
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.