Jeetey jee koocha-e-dil;daar sey jaaya na gaya
Us ki deewaar ka sar se mere saaya na gaya
Dil ke taeen aatish-e-hijraan sey bachaaya na gaya
Ghar jala saamney par hum sey bujhaaya na gaya
Kia tunak hausla tha deeda-o-dil apney aah
Aik dum raaz mohabbat ka chupaaya na gaya
Dil jo deedaar ka qaayal ke bohot bhoka tha
Is sitam-kushta sey yak-zakhm bhi khaaya na gaya
Sheher-e-dil aah ajab jaaey thi par us ke gaey
Aisa ujra ke kisi tarah basaaya na gaya

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.