Kaheen tou kaarawaan-e-dard ki manzil theher jaaey
Kinaarey aa lagey umar-e-rawaan yaa dil theher jaaey
Amaan kaisi ke mauj-e-khoon abhi sar sey nahi guzri
Guzar jaaey tou shaayad baazoo-e-qaatil theher jaaey
Koi dum baadabaam-e-kasti-e-sahaaba ko tah rakho
Zara thehro ghubaar-e-khaatir-e-mehfil theher jaaey
Hamaari khaamoshi bas dil se lub tak ek waqfa hai
Ye tuufaan hai jo pal bhar bas lub-e-saahil theher jaaey
Nigaah-e-muntazir kab tak karey gi aaeena-bandi
Kaheen tou dasht-e-gham mein yaar ka mehmil theher jaaey

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.