Khuda wo waqt na laaey ke sogawaar ho tu
Sukoon ki neend tujhe bhi haraam ho jaaey
Teri massarrat-e-paiham tamaam ho jaaey
Teri hayaat tujhe talkh-jaam ho jaaey
Ghamon sey aaeena-e-dil-gudaaz ho tera
Hujoom-e-yaas se bey-taab ho ke reh jaaey
Wafoor-e-dar se seemaab ho ke reh jaey
Tera shabaab faqat khwaab ho ke reh jaaey
Ghuroor-e-husn saraapa-niyaaz ho tera
Taweel raaton mein tu bhi qaraar ko tarsey
Teri nigaah kisi gham-gusaar ko tarsey
Khizaan-raseeda tamanna bahaar ko tarsey
Koi jabeen tere sung-e-aastaan pe jhukey
Ke jins-e-ijz-o-aqeedat se tujh ko shaad karey
Faraib-e-waada-e-farda pe aetemaad karey
Khuda wo waqt na laaey ke tujh ko yaad karey
Wo dil ke tere liye bey-qaraar ab bhi hai
Wo aankh jis ko tera intezaar ab bhi hai

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.