Aaj ke din na pucho mere dost
Duur kitney hain khushiyaan manaaney ke din
Khul ke hansney ke din geet gaaney ke din
Pyaar karney ke dil, dil laagaaney ke dil
Aaj ke din na pucho mere dost
Zakhm kitney abhi bakht-e-bismil mein hain
Dsaht kitney abhi raah-e-manzil mein hain
Teer kitney abhi dasht-e-qaatil mein hain
Aaj ke din zubaan hai mere dosto
Aaj ke din tou yun hai mere dosto
Jese dard-o-alam ke puraaney nishaan
Sab chaley soo-e-dil kaarawaan karawaan
Haath seeney pe rakho tou har ustakhwaan
Sey uthey naala-e-al'maan al'maan
Aaj ke din na pucho mere dosto
Kab tumhaarey lahoo ke dareeda alam
Farq-e-khursheed-e-mehshar pe hon gey raqam
Az karaan taa karaan tab tumhaarey qadam
Ley ke uthey ga wi bahaar-e-khoon yam-ba-yam
Jis dil mein dhul jaaey ga aaj ke din ka gham
Saarey dard-o-alam saaarey jaur-e-sitam
Duur kitney hai khursheed-e-mehshar ki lau

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.