Meer dariya hai suney sheher zubaani us ki
Allah Allah rey tabiyyat ki rawaani us ki
Meenh tou bochar ka dekha hai barastey tum ney
Isi andaaz sey thi ashk-fishani us ki
Baat ki tarz ko dekho tou koi jaadu tha
Par mili khaak mein sab sahar-bayaani us ki
Marsiye dil ke kaee keh ke diye logon ney
Sheher-e-dil mein hai sab paas nishaani us ki
Ab gaey jo us ke jo afsos nahi kuch haasil
Haif-sud-haif, kuch qadr na jaani us ki

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.