A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Maher ki tujh sey tawaqau thi sitam-gar nikla
Mom samjhey thay tere dil ko so pathar nikla

Daagh hoon rashk-e-mohabbat sey itna bey-taab
Kis ki taskeen ke liye ghar se tou baahar nikley

Jeetey jee aah tere koochey sey koi na phira
Jo sitam-deeda raha jaa ke, so mar kar nikla

Dil ki aabaadi ki is hudd hai kharaabi ke na puch
Jaana jaata hai ke is raah sey lashkar nikla

Ashk-e-tar, qatra-e-lakht-e-jigar, paraa-e-dil
Aik sey aik adoo aankh sey behtar nikley

Hum ney jaana tha likhey ga koi hurf aey Meer
Par tera naam tou ek shauq ka daftar nikla

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]