A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Ye aalam shauq ka dekha na jaaey

Wo but hai ya Khuda, dekha na jaaey

Ye kin nazron se tum ne aaj dekha
Ke tera dekhna dekha na jaaey

Hamesha ke liye mujh se bichar jaa
Ye manzar baaraha dekha na jaaey

Ghalat hai jo suna par aazma kar
Tujhe aey bbey-wafa dekha na jaaey

Ye mehroomi nahin paas-e-wafa hai
Koi tere siwa dekha na jaaey

Yahi tou aashnaa banrey hain aakhir
Koi naa-aashna dekha na jaaey

Faraz apne siwa hai kaun tera
Tujhe tujh se juda dekha na jaaey

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]