A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Ye kia ke sab se bayaan dil ki haalatein karni
Faraz tujh ko na aaeen mohabbatein karneen

Ye qurb kia hai ke tu saamney hai aur hamein
Shumaar abhi se judaai ki sa'arein karneen

Koi Khuda ho ke phattar jisey bhi hamein
Tamaam umar usi ki ibaadatein karneen

Sab apne qareeney se muntazir us ke
Kisi ko shukar kisi ko shikaayatein karneen

Ham apne dil se hain majboor aur logon ko
Zara si baat pe barpa qayaamatein karneen

Milein jab un se tou mubham si guftagu karna
Phir apne aap se sau sau wazaahatein karneen

Ye log kaisey magar dushmani nibhaatey hain
Hameen ko raas na aaeen mohabbatein karneen

Kabhi Faraz naey mausamon mein ro dena
Kabhi talaash puraani raqaaatein karneen

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]