A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Us simt mujh ko yaar ne jaaney nahi diya
Ik aur sheher-e-yaar mein aaney nahi diya

Kuch aur waqt chaahtey thay ke sochein tere liye
Tu ney wo waqt hum ko zamaaney, nahi diya

manzil hai is mehek ki kahaan, kis chaman mein hai
Is ka pata safar mein hawa ney nahi diya

Roka anaa ney kaawish-e-bey-sood sey mujhey
Us but ko apna haal sunaaney nahi diya

Hai jis ke baad ahd-e-zawaal-aashna Munir
Itna kamaal hum ko Khuda ney nahi diya


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]