Zinda rahein tou kia hai, jo mar jaaein hum tou kia
Duniya mein khaamoshi sey guzar jaaein hum tou kia
Hasti hi apni kia hai zamaaney ke saamney
Ik khwaab hai jahaan mein bikhar jaaein hum tou kia
Ab kaun Muntazir hai tumharey liye wahaan
Shaam aa gaee hai, laut ke ghar jaaein hum tou kia
Dil ki khalish tou saath rahey gi tamaam umar
Dariya-e-gham ke paar utar jaaein hum tou kia

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.