A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Dil-e-nadaan tujhe hua kia hay
Aakhir iss dard ki dawa kia hay

Hum hain mushtaq aur wo bey zaar
Yaa Illaahi, ye majara kia hay

Main bhi munh mein zubaan rakhta hun
Kaash pucho k mudda'aa kia hay

Jab key tujh bin nahi koi mojood
Phir ye hungaama, aey Khuda kia hay

Ye pari-chehra log kaise hein
Ghamaza-o-Ishwa-o-adaa kia hay

Shikan-e-zulf-e-ambari kiun hay
Nigaah-e-chashm-e-surmaa saa kia hay

Sabza-o-gul kahan se aaey hein
Abr kia cheez hay, hawa kia hay

Hum ko un se wafa ki hai ummeed
Jo nahi jaantey, wafa kia hay

Han bhala kar, tera bhala hoga
Aur durwaish ki dua kia hay

Jaan tum par nisaar karta hun
Main nahi jaanta dua kia hay

Main ne maana k kuch nahi Ghalib
Muft haath aaey tou bura kia hay

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]