A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Hui hai shaam tou aankhon mein bas gaya phir tu
kahaan gaya hai mere sheher ke musaafir tu

Bohot udaas hai ik shakhs tere jaaney se
Jo ho sakey tou chalaa aa usi ki khaatir tu

Meri misaal ke ik nakhl-e-khushk sehraa hun
Tera khayaal ke shaakh0-e-chaman ka taa'ir hun

Main jaanta hun k duniyaa tujhe badal dey gi
Main maanta hun ke aisa nahi bazaahir tu

hansi khushi se bichar jaa agar bicharna hai
Ye har maqaam pe kia sochta hai aakhir tu

Faraz tu ne usey mushkilon mein daal diya
Zamaana saahib-e-zar aur sirf shaayar tu

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]