A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Tum bhi khafa ho dost bhi bey-rehem dosto
Ab ho chala yaqeen ke burey hum hain dosto

Kis ko hamaarey haal se nisbat hai kia karein
Aankhein tou dushmanon ki bhi pur-nam hein dosto

Apne siwa hamaarey na honey ka gham kisey
Apni talaash mein tou hum hi hum hain dosto

Kuch aaj shaam hi se hai dil b hi bujha bujha
Kuch sheher ke chiraagh bhi maddham hain dosto

Is sheher-e-aarzoo se bhi baahar nikal chalo
Ab dil ki raunaqein hi koi dam hai dosto

Sab kuch sahi Faraz par itna zaroor hai
Dunya mein aisey log bohot kam hain dosto

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]