Aarzooein hazaar rakhtey hain
Tou bhi hum dil ko maar rakhtey hain
Barq kam hauslaa hai hum bhi tou
Dil aik bey-qaraar rakhtey hain
Ghair hai muraad-e-insaaniyyat haaey
Hum bhi tou tum se piyaar kartey hain
Na nigaah na payaam na waadah
Naam ko hum bhi yaar rakhtey hain
Hum se khush zam-zama kahaan tun tou
Lub-o-lehja hazaar rakhtey hain
Chotey dil ke hain butaan mash-hoor
bas yahi aitabaar rakhtey hain
Phir bhi kartey hain Meer saahib ishq
Hain jawaan, ikhtiyaar rakhtey hain
Tou bhi hum dil ko maar rakhtey hain
Barq kam hauslaa hai hum bhi tou
Dil aik bey-qaraar rakhtey hain
Ghair hai muraad-e-insaaniyyat haaey
Hum bhi tou tum se piyaar kartey hain
Na nigaah na payaam na waadah
Naam ko hum bhi yaar rakhtey hain
Hum se khush zam-zama kahaan tun tou
Lub-o-lehja hazaar rakhtey hain
Chotey dil ke hain butaan mash-hoor
bas yahi aitabaar rakhtey hain
Phir bhi kartey hain Meer saahib ishq
Hain jawaan, ikhtiyaar rakhtey hain

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.