A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Gham ka wo zor ab mere andar nahi raha
Iss umar mein, main itna samar-war nahi raha

Iss ghar mein jo kashish thi, gaee un dinon ke saath
Iss ghar ka saaya ab mere sar par nahi raha

Wo husn-e-nau-bahaar abad shauq jism sun
Main sheher mein kisi sey baraabar nahi raha

Rehbar ko un ke haal ki ho kis tarah khabar
Logon ke darmiyaan wo aa kar nahi raha

Wapas na ja wahaan ke tere sheher mein Munir
Jo jis jagah pe tha, wo wahaan par nahi raha

http://urdupoetrycity.blogspot.com/2015/04/gham-ka-wo-zor-ab-mere-andar-muni-niazi.html

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]