A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Wo buton ne daaley hain waswasey, ke dilon se khauf-e-Khuda gaya
Wo pari hain roz qayaamatein, ke khayaal-e-roz-e-jaza gaya

Jo nafas tha khaar-e-gul bana, jo uthaa tou haath qalam huey
Wo nishaat-e-aah-sahar gai, wo waqaar-e-dast-e-duaa gaya

Na wo rung fasl-e-bahaar ka, na rawish wo abr-e-bahaar ki
Jis adaa sey yaar thay aashanaa, wo mizaaj-e-baad-e-sabaa gaya

Abhi baadabaan ko teh rakho, abhi muztarib hai rukh-e-hawa
Kisi raastey mein hai muntazir, wo sukoon jo aa ke chalaa gaya

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]