Dil sey shauq-e-rukh-e-niko na gaya
Jhaankna taankna kabhoo na gaya
Har qadam par thi us ki manzil laik
Sar sey sauda-e-justajoo na gaya
Sab gaey hosh-o-sabr-o-taab-o-tawaan
Lekin aey daagh sey dil sey tu na gaya
Hum Khuda ke kabhi qaayal tou na thay
Un ko dekha tou Khuda yaad aa gaya
Dil mein kitney masawwidey thay waley
Aik paish us ke roo-ba-roo na gaya
Subah gardaan hi Meer hum tou rahey
Dast-e-kotaah taa saboo na gaya
Jhaankna taankna kabhoo na gaya
Har qadam par thi us ki manzil laik
Sar sey sauda-e-justajoo na gaya
Sab gaey hosh-o-sabr-o-taab-o-tawaan
Lekin aey daagh sey dil sey tu na gaya
Hum Khuda ke kabhi qaayal tou na thay
Un ko dekha tou Khuda yaad aa gaya
Dil mein kitney masawwidey thay waley
Aik paish us ke roo-ba-roo na gaya
Subah gardaan hi Meer hum tou rahey
Dast-e-kotaah taa saboo na gaya

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.