A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Mujh ko shikwa hai ke mere bhaai tum jaatey huey ley gaey saath meri umr-e-guzishta ki kitaab
Is mein tou meri bohot qeemti cheezein theen, is mein bcahman tha mera aur mera ahd-e-shabaab

Is ke badley mujhe tum dey gaey jaatey jaatey apney gham ka ye damakta hua khoon-rung gulaab
Kia karun bhaai, ye aizaaz main kiun kar pehnoon, mujh se ley lo meri sab chaak qameezon ka hisaab

Aakhri baar hai lo maan lo ik ye bhi sawaal, aaj tak tum se main lauta nahi maayuus-e-jawaab
Aa ke ley jaao tum apna ye damakta hua phool, mujh ko lauta do meri umr-e-guzeshta ki kitaab

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]