A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Kabhi kisi baam ke kinaarey
Ugey huey payrr ke sahaarey
Mujhe mili hain wo mast aankhein
Jo dil ke paataal mein utar kar
Gaey dinon ki gufa mein jhonkey

Kabhi kisi ajnabi nagar mein
Kisi akeley udaas ghar mein
Pari-rukhon ki haseen sabhaayein
Koi bahaar-e-guraiz paaein

Kabhi sar-e-raah sar-e-koo
Kabhi paas-e-dar, kabhi lub-e-joo
Mujhe mili hain wohi nigaahein
Jo aik lamhey ki dosti mein
Hazaar baaton ko kehna chaahein


 

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]