A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Tha musteaar-e-husn sey us ke jo noor tha
Khurshid mein bhi us hi ka zahoor tha

Puhuncha jo aap ko tou main puhuncha Khuda ke taeen
Maaloom ab hua ke bohot main bhi duur tha

Kal paaun aik khaasa-e-sar par jo aa gaya
Yak-sar wo istakhaan shikaston mein choor tha

Kehney laga ke daikh kar chal raah bey-khabar
Main bhi kabhoo kisoo ka sar-e-pur-ghuroor tha

Tha wo tou rask-e-hoor-e-bahishtee hamee mein Meer
Samjhey na hum tou fehem ka apney qusoor tha


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]