Tumhaari yaad ke jab zakhm bharney lagtey hain
Kisi bahaaney se tumhain yaad karney lagtey hain
Hadees-e-yaar ke unwaan nikharney lagtey hain
Tou har hareem mein gaisoo sanwarney lagtey hain
Har ajnai hamein mehram dikhaayi deta hai
Jo ab bhi teri gali sey guzarney lagtey hain
Saba sey kartey hain ghurbat-naseeb zikr-e-watan
Tou chashm-e-subah mein aansoo ubharney lagtey hain
Wo jab bhi kartey hain is nuqt-o-lub ki bakhiya-gaari
Faza mein aur bhi naghmey bikharney lagtey hain
Dar-e-qafas pe andheray ki mohar lagti hai
Tou Faiz dil mein sitaarey utarney lagtey hain

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.