A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Aaey kuh abr kuch sharaab aaey
Us ke baad aaey jo azaab aaey

Baam-e-meena se maahtaab utrey
Dast-e-saaqi mein aaftaab aaey

Har rag-e-khoon mein phir charaaghaan ho
Saamney phir wo bey-naqaab aaey

Umar ke har waraq pe dil ko nazar
Teri mehr-o-wafa ke baab aaey

Kar raha tha gham-e-jahaan ka hisaab
Aaj tum yaad bey-hisaab aaey

Naa gai tere gham ki sardaari
Dil mein yun roz inquilaab aaey

Jal uthey bazm-e-ghair ke dar-o-baam
Jab bhi ham khaanamaam-kharaab aaey

Is tarah apni khaamoshi goonji
Goya har simt se jawaab aaey

Faiz hi raah sar basar manzil
ham jahaan phunchey kaamyaab aaey

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]