A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

A wohi harf-e-junoon sab ki zubaan thehri hai
Jo bhi chal nikli hai wo baat kahaan thehri hai

Aaj tak shaikh ke ikraam mein jo shay thi haraam
Ab wohi dushman-e-deen raahat-e-jaan thehri hai

Hai khabar garm ke phirta hai guraizaan naaseh
Guftagu aaj sar-e-koo-e-butaan thehri hai

Hai wohi aariz-e-lailaa wohi shireen ka dehen
Nigaah-e-shauq ghari bhar ko yahan thehri hai

Wasal ki shab thi tou kis darja subak guzri thi
Hijr ki shab hai tou kia, sakht geraan guzri hai

Bikhri aik baar tou haath aai kab mauj-e-shameem
Dil se nikli hai tou kab lub pe fygaan thehri hai

Dast-e-Sayyed bhi aajiz hai, kaf-e-gulcheen bhi
Boo-e-gul thehri na bul-bul ki zubaan thehri

Aatey aatey yun hi dam bhar ko ruki hogi bahaar
Jaatey jaatey yun hi pal bhar ko khuzaan thehri hai

Hum ne jo tarz-e-fughaan ki hai qafas mein ijaad
Faiz gulshan mein wo tarz-e-bayaan thehri hi

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]