A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Zakhm ko phool tou sar-sar ko saba kehte hain
Jaaney kia daur hai kia log hain kia kehtey hain

Kia qayaamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chaley
Ab wohi log hamein aabalaa-paa kehtey hain

Koi batlaao ke ik umar ka bichra mehboob
Ittefaaqan kahin mil jaaey tou kia kehtey hain

Jab talak duur hai tu, teri parastish kar lein
Hum jisey choo na sakein, us ko Khuda kehtey hain

Kia ta'ajjub hai ke ham ahl-e-tammanna ko Faraz
Wi  jo mehram-e-tammanna hain, bura kehtey hain

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]