Bahaar aai tou jesey aik baar
Laut aaey hain phir Adam se
Wo khwaab saarey, sharaab saarey
Jo tere honton pe mar mitey thay
Jo mut ke har baar phir jiye thay
Nikhar gaey hain gulaab saarey
Jo teri yaadon se mushk-boo hain
Jo tere ush-shaaq ka lahoo hain
Ubal parey hain azaab saarey
malaal-e-ahwaal-e-dostaan bhi
Khumaar-e-aaghosh-e-mahawashaan bhi
Ghubaar-e-khaatir ke baab saarey
Tere hamaarey
Sawaal saarey, jawaab saarey
Bahaar aai tou khul gaye hain
Naye sirey se hisaab saarey
Laut aaey hain phir Adam se
Wo khwaab saarey, sharaab saarey
Jo tere honton pe mar mitey thay
Jo mut ke har baar phir jiye thay
Nikhar gaey hain gulaab saarey
Jo teri yaadon se mushk-boo hain
Jo tere ush-shaaq ka lahoo hain
Ubal parey hain azaab saarey
malaal-e-ahwaal-e-dostaan bhi
Khumaar-e-aaghosh-e-mahawashaan bhi
Ghubaar-e-khaatir ke baab saarey
Tere hamaarey
Sawaal saarey, jawaab saarey
Bahaar aai tou khul gaye hain
Naye sirey se hisaab saarey
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.