Hum par tumhaari chaah ka ilzaam hi tou hai
Dushman tou nahi hai, ye ikraam hi tou hai
Kartey hain jis pe ta'an, koi jurm tou nahi
Shauq-e-fuzool-o-ulfat-e-nakaam hi tou hai
Dil muddaee ke hurf-e-malaamat se shaad hai
Aey jaan-e-jaan ye hurf tera naam hi tou hai
Dil naa-ummeed tou nahi, naa-kaam hi tou hai
Lambi hai gham ki shaam, magar shaam hi tou hai
Dast-e-falak mein gardis-e-taqdeer tou nahi
Dast-e-falak mein gardish-e-ayyaam hi tou hai
Aakhir tou aik roz karey gi naza wafa
Wo yaar-e-khush-khasaal sar-e-baam hi tou hai
[Written while Faiz was imprisoned in Montogomery jail, March 1954]

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.