A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Jis sar ko ghuroor hai aaj yaan taajwari ka
Kal us pe yaheen shor hai phir noha-gari ka

Aafaaq ki manzil sey gaya kaun salaamat
Asbaab luta raah mein yaan har safari ka

Zindaan mein bhi shorash na gaee apney junoon ki
Ab sung madaawa hai is aashufta-sari ka

Har zakhm-e-jigar dawar-e-mehshar sey hamaara
Insaaf talab hai teri bey-daada-gari ka

Is rung sey jhamkey hai palak par ke kahey tu
Tukra hai mera ashk qeeq-e-jigri ka

Ley saans bhi naazuk ke aahista hai bohot kaam
Aafaaq ki iss kaargah-e-sheesha-gari ka

Ruk Meer-e-jigar-sokhta ki jald khabar ley
Kia yaar bharosa hai chiraagh-e-sahari ka


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]