A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Jo iss shior se Meer rota rahey ga
Tou hum-saaya kahey ko sota rahey ga

Main wo roney waala jahaan sey chala hun
Jisey abr har saal rota rahey ga

Mujhey kaam roney sey har dum hai naaseh
Tu kab tak mere munh ko dhota rahey ga

Basey giriyaa aankhein teri kia nahi hain
Jahaan ko kahaan tak dobota rahey ga

Mere dil ney wo naala paida kiya hai
Jaras ke  bhi jo hosh khota rahey ga

Tu yun galiyaan ghair ko shauq sey dey
Hamein kuch kahey ga tou hota rahey ga

Bas aey Meer mizshgaan sey pounch aansuon ko
Tu kab tak ye moti pirota rahey ga

 

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]