Jo tu hi sanam hum sey bey-zaar hoga
Tou jeena hamein apna dushwaar hoga
Gham-e-hijr rakhey ga bey-taab dil ko
Hamein kurhtey kurhtey kuch aazaar hoga
Jo afraat-e-ulfat hai aisa tou aashiq
Koi din mein barson ka beemaar hoga
Uchatati mulaaqaat kab tak rahey gi
Kabhoo tou tah-e-dil sey bhi yaar hoga
Tujhey dekh kar lag gaya dil na jaana
Ke is sung-dil seu hamein piyaar hoga
Tou jeena hamein apna dushwaar hoga
Gham-e-hijr rakhey ga bey-taab dil ko
Hamein kurhtey kurhtey kuch aazaar hoga
Jo afraat-e-ulfat hai aisa tou aashiq
Koi din mein barson ka beemaar hoga
Uchatati mulaaqaat kab tak rahey gi
Kabhoo tou tah-e-dil sey bhi yaar hoga
Tujhey dekh kar lag gaya dil na jaana
Ke is sung-dil seu hamein piyaar hoga
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.