Kia kahoon tum sey main, ke kia hai ishq
Jaan ka rog hai,bala hai ishq
Ishq hi ishq hai jahaan dekho
Saarey aalam mein bhar raha hai ishq
Ishq maashooq ishq aashiq hai
Yaani apna hai mubtala hai ishq
Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen
Kaheen banda, kaheen khudaai hai
Kaun maqsad ko ishq bin puhuncha
Aarzu, ishq-o-mud'dua hai ishq
Koi khwaahan nahi mohabbat ka
Tu kahey jins-e-naarawa hai ishq
Meer Jee zard hotey jaatey hain
Kia kabhi tum ney bhi kiya hai ishq
Jaan ka rog hai,bala hai ishq
Ishq hi ishq hai jahaan dekho
Saarey aalam mein bhar raha hai ishq
Ishq maashooq ishq aashiq hai
Yaani apna hai mubtala hai ishq
Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen
Kaheen banda, kaheen khudaai hai
Kaun maqsad ko ishq bin puhuncha
Aarzu, ishq-o-mud'dua hai ishq
Koi khwaahan nahi mohabbat ka
Tu kahey jins-e-naarawa hai ishq
Meer Jee zard hotey jaatey hain
Kia kabhi tum ney bhi kiya hai ishq
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.