A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Ye taboat hai tou khud aazaar ban jaaein gey hum
Chaarah-gar roein gey aur gham-khwaar ban jaaein gey hum

Ham sar-e-chaal-e-wafa hain aur tera dast-e-hunar
Jo bana dega hamein aey yaar ban jaaeingey hum

Kia khabar thi aey nigaar-e-sher tere ishq mein
Dil-baraan-e-sheher ke dil-daar ban jaaein gey hum

Sakht-jaan hain par hamaari ustawaari par na ja
Aisey tootein gey tera iqraar ban jaaein gey hum

Aur kuch din baithney dokoo-e-jaanaan mein hamein
Raftaa raftaa saaya-e-deewaar ban jaaein gey hum

Meer-o-Ghalib kia ke ban paaey nahi Faiz-o-Firaaq
Zam ye tha Roomi-o-Ataar ban jaaein gey hum

Dekhne mein shaakh-e-gul lagaatey hain lekin dekhna
Dast-e-gul-cheen ke liye talwaar ban jaaeingey hum

Ham chiraaghon ko tou tareeki se larnaa hai Faraz
Gul huey par subha ke aasaar ban jaaein gey hum

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]