A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.
Pages
▼
Monday, March 30, 2015
Wafa Ke Bhais Mein Koi Raqeeb-e-Sheher Bhi Hai - Ahmed Faraz
Wafa ke bhais main koi raqeeb-e-sheher bhi hai
Hazar, ka sheher ke qaatil tabeeb-e-sheher bhi hai
Wohi sipaah-e-sitam khaima-zan hai chaaron taraf
Jo mere bakht mein tha, ab naseeb-e-sheher bhi hai
Udhar ki aag idhar bhi puhunch na jaaey kahin
Hawa bhi taiz hai, jungle qareeb-e-sheher bhi hai
Ab us ke hijar mein rotey hain, us ke ghaayal bhi
Khabar na thi ke wo zaalim habeeb-e-sheher bhi hai
Ye raaz naara-e-Mansoor hi se hum pe khula
Ke choob-e-mimbar-e-masjid saleeb-e-sheher bhi hai
Kari hai jang, ke ab ke muqaabaley pe Faraz
Ameer-e-sheher bhi hai aur khateeb-e-sheher bhi hai

Sunday, March 29, 2015
Us Ne Sukoot-e-Shab Mein Bhi Apna Payaam Rakh Diya - Ahmed Faraz
us ne sukoot-e-shab mein bhi apnaa payaan rakh diya
Hijr ki raat hum par, maah-e-tamaam rakh diya
Aamad-e-dost ki nawaid koo-e-wafa mein aam thi
Main ne bhi ik charaagh sa dil, sar-e-shaam rakh diya
Dekho ye mere khwaab thay, dekho ye mere zakhm hain
Main ne tou sab hissaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diya
Us ne nazar nazar mein hi aisey bhaley sukhan kahey
Main ne tou uske paaun mein saara kalaam rakh diya
Shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-mae-kashi rahi
Us ne jo phair li nazar mein ne bhi jaam rakh diya
Aur Faraz chahiyen kitni mohabbatein tujhe
Ke Maaon ne tere naam par bach-chon ka naam rakh diya

Us Ne Kaha Sun - Ahmed Faraz
Us ne kaha sun
Ahad nibhaaney ki khaatir mat aana
Ahad nibhaaney waley aksar majboori ya
Mahjoori ki thakan se lauta karte hain
Tum jaao aur dariyaa dariyaa piyaas bujhaao
Jin aankhon mein doobo
Jis dil mein bhi utro
Meri talab awaaz na dey gi
Lekin jab meri chaahat aur meri khwaahish ki lau
Itni taiz aur ini oonchi ho jaaye
Jab dil ro dey
Tab laut aana

Us Ko Juda Huey Bhi Zamaana Bohot Hua- Ahmed Faraz
Us ko judaa huey bhi zamaana bohot hua
Ab kia kahein ke qissa puraana bohot hua
Dehelti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaaq
Ae marg-e-naagahaan tera aana bohot hua
Hum khuld se nikal tou gaey hain par aey Khuda
Itney se waaqa'ey ka fasaana bohot hua
Ab hum hain aur saarey zamaaney ki dushmani
Us se zara rabt barhaana bohot hua
Ab kiun na zindagi ko mohabbat pe waar dain
Iss aashiqi mein jaan se jaana bohot hua
Ab tak tou dil ka dil se ta'aruf na ho saka
Maana ke us se milna milaana bohot hua
Kia kia na ham kharaa huey hain magar ye dil
Aey yaad-e-yar terea thikaana bohot hua
Kehta tha naasehon se mere munh na aaeiyo
Phir kia tha aik hoo ka bahaana bohot hua
Lo phir tere labon pe usi bey-wafa ka zikr
Ahmed Faraz tujh se kahaa naa bohot hua

Tu Paas Bhi Ho Tou Dil Bey-Qaraar Apna Hai - Ahmed Faraz
Tu paas bhi ho tou dil bey-qaraar apna hai
Ke hum ko tera nahi intezaar, apna hai
Miley koi bhi tera zikr chair dete hain
Ke jesey saara jahaan raaz-daar apna hai
Wo duur ho tou bajaa tark-e-dosti ka khayaal
Wo saamney ho tou kab ikhtiyaar apna hai
Zamaaney bhar ke dukhon ko laga liya dil se
Is aasrey pe ik gham-gusaar apna hai
Faraz raahat-e-jaan bhi wohi hai kia ki jiye
Wo jis ke haath se seena figaar apna hai

Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi Bey-Rehem Dosto - Ahmed Faraz
Tum bhi khafa ho dost bhi bey-rehem dosto
Ab ho chala yaqeen ke burey hum hain dosto
Kis ko hamaarey haal se nisbat hai kia karein
Aankhein tou dushmanon ki bhi pur-nam hein dosto
Apne siwa hamaarey na honey ka gham kisey
Apni talaash mein tou hum hi hum hain dosto
Kuch aaj shaam hi se hai dil b hi bujha bujha
Kuch sheher ke chiraagh bhi maddham hain dosto
Is sheher-e-aarzoo se bhi baahar nikal chalo
Ab dil ki raunaqein hi koi dam hai dosto
Sab kuch sahi Faraz par itna zaroor hai
Dunya mein aisey log bohot kam hain dosto

Teri Baatein Hi Sunaaney Aaey - Ahmed Faraz
Teri baatein hi sunaaney aaey
Dost bhi dil hi dukhaaney aaey
Phool khiltey hain tou hum sochtey hain
Tere aaney ke zamaaney aaey
Aisi kuch chup si lagi hai jesay
Hum tujhe haal sunaaney aaey
Ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-gham
kaun ye bijh uthaaney aaey
Ajnabi dost hamein dekh ke hum
Kuch tujhe yaad dilaaney aaey
Dil dharakta hai safar ke hangam
Kaash phir koi bulaaney aaey
Kia kaheen phir koi basti ujree
Log kiu jashn manaaney aaey
So raho maut ke pahloo mein Faraz
Neend kis waqt na-jaaney aaey
Dost bhi dil hi dukhaaney aaey
Phool khiltey hain tou hum sochtey hain
Tere aaney ke zamaaney aaey
Aisi kuch chup si lagi hai jesay
Hum tujhe haal sunaaney aaey
Ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-gham
kaun ye bijh uthaaney aaey
Ajnabi dost hamein dekh ke hum
Kuch tujhe yaad dilaaney aaey
Dil dharakta hai safar ke hangam
Kaash phir koi bulaaney aaey
Kia kaheen phir koi basti ujree
Log kiu jashn manaaney aaey
So raho maut ke pahloo mein Faraz
Neend kis waqt na-jaaney aaey
Tere Hotey huey Mehfil Mein Jaltey Hain Charaagh - Ahmed Faraz
Tere hotey huey mehfil mein jaltey hein charaagh
Log kia saada hain sooraj ko dikhaatey hain charaagh
Apne mehroomiyon pe sharmninda hain
Khud nahi rakhte tou auron ke bujhaatey hein charaagh
Bastiyaan chaand sitaaron pe basaaney waaley
Kurra-e-arz bujhaatey jaatey hain charaagh
Kia khabar hai un ko ke daaman bhi bharak uthtey hain
Jo zamaaney ki hawaaon se bachaatey hain charaagh
Aisi taareekiyaan aankhon mein basi hain Faraz
Raat tou raat hum din ko jalaate hain charaagh

Tarap Uthoon Bhi Tou Zaalim Teri Duhaai Na Dun - Ahmed Faraz
Tarap uthoon bhi tou zaalim teri duhaai na dun
Main zakhm zakhm hun phir bhi tujhe dikhaai na dun
Tere badan mein dharakney laga hun dil ki tarah
Ye aur baat ke ab bhi tujhe dikhaai dun
Khud apne aap ko parkhaa tou ye nadaamat hai
Ke ab kabhi usey ilzaam-e-bey-wafaai dun
Mujhe bhi dhund kabhi mehw-e-aaina-daari
Main tera aqs hun lekin tujhe dikhaai na dun

Suna Hai Log usey Aankh Bhar Ke Dekhte Hain - Ahmed Faraz
Suna hai log usey aankh bhar ke dekhte hain
So us k sheher mein kuch din theher ke dekhte hain
Suna hao rabt hao us ko kharaab haalon se
So apne aap ko baraad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o-shayari se shaghaf
So hum bhi maujazey apne hunar ke dekhte hain
Suna hai boltey tou baaton se phool jhartey hein
Ye baat hai tou chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat usey chaand takta rehta hai
Sitaar-e-baam-e-falak se utar ke dekhte hain
Suna hai hashr hein us ki ghazal si aankhein
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usey titliyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnoo theher ke dekhte hain
Suna hai raat se barh kar hain kaakulein us ki
Suna hai shaam ko saaey guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyaah chashmagi qayaamat hai
Tou us ko sarma-farosh aankh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke lubon se gulaab jalte hain
So hum bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina tamasaal hai jabeen us ka
Jo saada-dil hain sab sanwar ke dekhte hain
Suna hai jab se humaail hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e-tasavwwur se dasht-e-imkaa mein
Palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke taraash aisey hain
Ke phool apni qabaaein qatar ke dekhte hain
Wo sharv-qad hai magar bey-gul-e-muraad nahi
Ke us shajar pe shagoofey samar ke dekhte hain
Bas ek nigaah se lut-taa hai kaafila dil ka
So rah-rawaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai bashisht
Makeen udhar ke bhi jalwey idhar ke dekhte hain
Rukey tou gardishein us ka tawaaf karti hain
Chaley tou us ko zamaaney theher ke dekhte hain
Kisey naseeb ke be-pairahaan usey dekhe
Kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain
Kahaaniyaan hi sahi, sab mubaalaghey hi sahi
Agar wo khwaab hai, taabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher mein theherney ki kuch kar jaaein
Faraz aao, sitaarey safar ke dekhte hain

Shola Tha Jal-Bujhaa Hun Hawaaein Mujhe Na Do - Ahmed Faraz
Shola tha jal-bujha hun hawaaein mujhe na do
Main kab ka jaa chuka hun sadaaein mujhe na do
Jo zeher pee chuka hun tumhi ne mujhe diya
Ab tum tou zindagi ki duaaein mujhe na do
Aisa kabhi na ho ke palat kar na aa sakoon
Har baar duur jaa ke sadaaein mujhe na do
Ka mujh ko aitaraaf-e-mohabbat na tha Faraz
Kab main ne ye kaha tha sazaayein mujhe na do

Sukoot-e-Shaam-e-Khizaan Hai Qareeb Aa Jao - Ahmed Faraz
Sukoot-e-shaam-e-khizaan hai qareeb aa jaao
Bara udaas samaan hai, qareeb aa jaao
Na tum ko khud pe bharosa, na hum ko zom-e-wafa
Na aitabaar-e-jahaan hai qareeb aa jaao
Raah-e-talb mein kisi ko dheyaan nahi
Hujoom-e-hum-safaraan hai, qareeb aa jao
Jo dasht-e-ishq mein bichrein wo umr bhar na mile
Yahaan dhuaan hi dhuaan hai, qareeb na jaao
Ye aandhiyaan hain tou sheher-e-wafa ki khair nahi
Zamaana khaak-fashaan hai, qareeb aa jaao
Faqeeh-e-sheher ki majlis nahi ke duur raho
Ye bazm-e-peer-e-magaan hai, qareeb aa jaao
Faraz duur ke sooraj ghuroob samjhey gaye
Ye daur-e-kam-nazaara hai qareeb aa jaao

Sab Log Liye Sung-e-Malaamat Nikal Aaey - Ahmed Faraz
Sab log liye snug-e-malaamat nikal aaye
Kis sheher main hum ahl-e-mohabbat nikal aaye
Ab dil ki tamanna hai tou aey kaash yahi ho
Aansoo ki jaga aankh se hasrat nikal aaye
Har ghar ka diyaa gul na karo tum ke na-jaaney
Kis baam se khursheed-e-qayaamat nikal aaye
Jo dar-paa-e-pindaar hain un qatal-gaahon se
Jaan dey ke bhi samjho ke salaamat nikal aaye

Saaqiya Ik Nazar Jaam Se Pehle Pehle - Ahmed Faraz
Saaqiya ik nazar jaam se pehle pehle
Hum ko jaana hai kahin shaam se pehle pehle
Khush hua aey dil ke mohabbat tou nibhaa di tu ne
Log ujar jaatey hain anjaam se pehle pehle
Ab tere zikr pe hum baat badal detey hain
Kitni raghbat thi tere naam se pehle pehle
Saamney umr pari hai shab-e-tanhaai ki
Wo mujhe chor gaya shaam se pehle pehle

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhaaney Ke Liye Aa - Ahmed Faraz
Ranjish hi sahi dil hi dukhaaney k liye aa
Aa phir se mujhe chor ke jaaney k liye aa
Pehley se muraasim na sahi, phir bhi kabhi tou
Rasm-o-raah-e-duniya hi nibhaaney ke liye aa
Kis kis ko bataaein gey judaai ka sabab hum
Tu mujh se khafaa hai tou zamaaney ke liye aa
Kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi tou kabhi mujh ko manaaney ke liye aa
Aik umar se hun lazzat-e-giriyaa se bhi mahroom
Aaey raahat-e-jaan mujh ko rulaaney ke liye aa
Ab tak dil-e-khush-fehem ko tujh se hain ummeedein
Ye aakhri shama'aa bhi bujhaaney ke liye aa
Maana ke mohabbat ka chupaana hai mohabbat
Chupkey se kisi roz bataaney ke liye aa
Jaise tujhe aatey hain, na aaney ke bahaaney
Aisey hi kisi roz na jaaney ke liye aa

Qurbaton Mein Bhi Judaai Ke Zamaaney Maangey - Ahmed Faraz
Qurbaton mein bhi judaai ke zamaaney maangey
Dil qo bey-mehar ki roney ke bahaaney maangey
Apna ye haal ke jee haar chukey lut bhi gaey
Aur mohabbat, wohi andaaz puraaney waaley
Ham na hotey tou kisi aur ke charchey hotey
Khalqat-e-sheher tou keney ko fasaaney maangey
Dil kisi haal pe maaney hi nahi jaan-e-Faraz
Mil gaye tum bhi tou kia aur na jaaney maangey

Phir usi Raah-Guzaar Par Shayad - Ahmed Faraz
Phir usi raah-guzaar par shaayad
Hum kabhi mil sakein magar shaayad
Jaan pehchaan se kia hoga
Phir bhi aey dost, ghaur kar shaayad
Muntazir jin ke ham rahey tum ho
Mil gaye aur hamsafar shaayad
Jo bhi bichrey hain kab miley hain Faraz
Phir bhi tu intezaar kar shaayad

Paich Rakhtey Ho Bohot Saaj-o-Dastaar Ke Beech
Paich rakhtey ho bohot saaj-o-dastaar ke beech
Main ne sar girtey huey dekhey hain baazaar ke beech
Baagh-baanon ko ajab rung se taktey hain gulaab
Gul-farosh aaj bohot jamaa hain gul-zaar ke beech
Kaj-adaaon ki inaayat hay k ham se ush-shaaq
kabhi deewaar ke pichey, kabhi deewaar ke beech
Tum ho naa-khush tou yahaan kaun hay khush phir bhi Faraz
Log rehtey hain isi sheher-e-dil-e-aazaar ke beech

Payaam Aaey Hain Us Yaar-e-Bey-Wafa Ke Mujhe
Payaam aaey hain us yaar-e-bey-wafa ke mujhe
Jisey qaraar na aaya kahin bhula ke mujhe
Nashey se kahoon tou nahi yaad-e-yaar kaa aalam
Ke le uraa hai koi dosh par hawa ke mujhe
Judaaiyaan hon tou aisi ke umar bhai na miley
Faraib tou do zara silsiley barha ke mujhe
Main khud ko bhool chuka tha magar jahaan waley
Udaas chor gaye aaina dikhaa ke mujhe

Muttafaawatey Hein Mere Khuda Ki Ye Tu Nahi Koi Aur Hai - Ahmed Faraz
Muttafaawatein hein mere khuda ki ye tu nahi koi aur hai
Ke tu aasmaan pe ho tou ho, pisar-e-zameen koi aur hai
Wo jo raastey thay, wafa ke thay, ye jo manzilein hain saza ki hain
Mera hum-safar koi aur tha, mera hum-nasheen koi aur hai
Mere jism-o-jaan mein tere siwaa aur koi bhi doosra
Mujh phir bhi lagta hai is tarah ke kahin kahin koi aur hai
Main aseer apne ghazaal ka, main faqeer apne wisaal ka
Jo hiran ko baand ke le gaya, wo subuk-tageen koi aur hai

Muntazir Kab Se Tahiyyur Hai Teri Taqdeer Ka - Ahmed Faraz
Muntazir ka se tahaiyyur hai teri taqreer ka
Baat kar tujh par gumaan honey laga tasveer ka
Raat kia soey ke baaqi umar ki neend ur gai
Khwaab kia dekha ke dharka lag gaya taabir ka
Jaaney tu kis aalam mein bichraa hai k tere baghair
Aaj tak har lafz fariyaadi meri tehreer ka
Jis tarah baadal ka saaya piyaas bharkaata rahey
Main ne wo aalam bhi dekha hai teri tasveer ka
Kis tarah paaya tujhe phir kis tarah khoya tujhe
Mujh sa munkir bhi tou qaail ho gaya taqdeer ka
Ishq mein sar phorna bhi kia ke ye be-meher log
Joo-e-khoon ko naam dete hein joo-e-sheer ka
Jis ko bhi chaaha usey shiddat se chaaha hai Faraz
Silsilaa toota nahi dard ki zanjeer ka

Main Tou Aawaara Shayar Hun Meri Kia Wuqu'at - Ahmed Faraz
Main tou aawaara shayar hun meri kia wuqu'at
Aik do geet paraishaan se gaa leta hun
Gaahey gaahey kisi naa-kaam sharaabi ki tarah
Aik do zeher ke saagar bhi charhaa leta hun
Tu ke ik waadi-e-gul-rung ki shahzaadi hai
Aik bekaar se insaan ke liye waqf na ho
Tere khwaabon ke jazeeron mein bari raunaq hai
Aik anjaan se toofaan k liye waqf na ho

Kia Rukhsat-e-Yaar Ki Ghari Thi - Ahmed Faraz
Kia rukhsat-e-yaar ki ghari thi
Hansti hui raat ro pari thi
Hum khud hi huey tabaah warna
Duniya ko hamaari kia pari thi
Ye zakhm hein un dinon ki yaadein
Jab aap se dosti bari thi
Jaatey tou kidhar ko tere wehshi
Zanjeer-e-junoon kari pari thi
Gham thay ke Faraz aandkhiyaan theen
Dil tha ke Faraz, pankhari thi
Hansti hui raat ro pari thi
Hum khud hi huey tabaah warna
Duniya ko hamaari kia pari thi
Ye zakhm hein un dinon ki yaadein
Jab aap se dosti bari thi
Jaatey tou kidhar ko tere wehshi
Zanjeer-e-junoon kari pari thi
Gham thay ke Faraz aandkhiyaan theen
Dil tha ke Faraz, pankhari thi
Kuch Na Kisi Se Bolein Gey - Ahmed Faraz
Kuch na kisi se bolein gey
Tanhaai mein ro lein gey
Hum bey-rehbaron ka kia
Saath kisi ke ho lein gey
Khud tou huey ruswa lein
Tere bhaid na kholein gey
Jeewan zeher bhara saagar
Kab tak amreet gholein gey
Neend tou kia aae gi Faraz
Maut aai tou so lein gey
Tanhaai mein ro lein gey
Hum bey-rehbaron ka kia
Saath kisi ke ho lein gey
Khud tou huey ruswa lein
Tere bhaid na kholein gey
Jeewan zeher bhara saagar
Kab tak amreet gholein gey
Neend tou kia aae gi Faraz
Maut aai tou so lein gey
Khwaab Marte Nahi -Ahmed Faraz
Khwaab marte nahi
Khwaab dil hain, na aankhein, na saansein ke jo
Raiza raiza huey tou bikhar jaaein gey
Jism ki maut se ye bhi mar jaaein gey
Khwaab marte nahi
Khwaab tou roshnaai hain, nawa hain, hawa hein
Jo kaaley pahaaron se ruktey nahi
Zulm ke dozakhon se bhi phukate nahi
Roshnaai aur nawa aur hawa ke aalam
Maqtalon mein puhunch kar bhi jhuktey nahi
Khwaab tou harf hain
Khwaab tou noor hain
Khwaab tou suqraat hain
Khwaab tou Mansoor hain

Khaamosh Ho Kiun Daad-e-Jafa Kiu Nahi Detey - Ahmed Faraz
Khaamosh ho kiun daad-e-jafa kun nahi detey
Bismil ho tou qaatil ko dua kiun nahi detey
Wehshat ka sabab roozan-e-zindaan tou nahi hai
Mahr-o-maah-o-anjum ko bujhaa kiun nahi detey
Ik ye bhi tou andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai
Aae charaah-garo dard barha kiun nahi detey
Munsif ho agar tum tou kab insaaf karo gey
Mujrim hain agar hum tou saza kiun nahi detey
Rahzan ho tou haazir hai mataa-e-dil-o-jaan abhi
Rahbar ho tou manzil ka pata kiun nahi detey
Kia beet gai ab ke Faraaz, ahl-e-chaman par
Yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kiun nahi detey

Kathin Hay Raah-Guzar Thori Duur Saath Chalo - Ahmed Faraz
Kathin hai raah-guzar, thori duur saath chalo
Bohot bara hai safar, thori duur saath chalo
Tamaam umar kahaan koi saath deta hai
Main jaanta hun, magar thori duur saath chalo
Nashey mein choor hun main bhi, tumhein bhi hosh nahi
Bara maza ho agar thori duur sath chalo
Ye aik shab ki mulaqaat bhi ghaneemat hai
Kisey hai kal ki khabar, thori duur saath chalo
Abhi tou jag rahey hain chiraagh raahon ke
Abhi hai duur sahar, thori duur saath chalo
Tawaaf-e-manzil-e-jaanaan hamein bhi karna hai
Faraaz tum hbi magar thori duur saath chalo

Karun Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulaaun Usey - Ahmed Faraz
Karun na yad agar, kis tarah bhulaaun usey
Ghazal bahaana karun aur gun-gunaaun usey
Qo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind
Main zakhm zakhm hun phir bhi galey lagaaun usey
Ye log tazkarey karte hein apney logon ke
Main kesey baat karun aur kahan se laaun usey
Magar wo zood-faraamosh zood-runj bhi hai
Ke rooth jaaey agar yaad kuch dilaaun usey
Wohi jo daulat-e-dil hai wohi jo raahat-e-jaan hai
Tumhaari baat pe aey naaseho, ganwaaun usey
Jo hum-safar sar-e-manzil ichar raha hay Faraz
Ajab nahi ke agar yaad bhi na aaun usey

Kaha Tha Kis Ne Ke Ahd-e-Wafa Karo Us Se - Ahmed Faraz
Kaha tha kis ne ke ahd-e-wafa karo us se
Jo yun kiya hai tou phir kiun gila karo us se
Ye ahl-e-baz tunak hausla sahi phir se
Zara fasaana-e-dil ibtidaa karo us se
Ue kia ke tum hi gham-e-hijr ke fasaane kaho
kabhi tou us ke bahaaney suna karo us se
Naseeb phir koi taqreeb-e-qarb ho ke na ho
Jo dil mein hon wohi baatein kiya karo us se
Faraz tark-e-ta'alluq tou khair kia hoga
Yahi bohot hai ke kam kam mila karo us se

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaaney Mere - Ahmed Faraz
Juz tere koi bhi din raat na jaaney mere
Tu kahaan hai magar aae dost puraaney mere
Tu bhi khusboo hai magar mera tajassus bekaar
Barq-w-aawaara ki maanind thikaaney mere
Shama'a ki lau thi ke wo tu tha magar hijr ki raat
Dair tak rota raha koi serhaaney mere
Khalq ki bey-khabri hai ke meri ruswaai
Log mujh ko hi sunaatey hain fasaaney mere
Lut ke bhi khush hun e aankhon se bhara hai daaman
Dekh ghaarat-gar-e-dil ye bhi khazaaney mere
Aaj ik aur baras beet gaya us ke baghair
Jis ke hotey huey hotey thay zamaaney mere
Kaash tu bhu meri awaaz sunta ho
Phir pukaarey hai tujhe dil ki sada ne mere
Kaash tu bhi kabhi aa jaey maseehaai ko
Log aatey hain bohot dil ko dukhaaney mere
Kaash auroin ki tarah main bhi keh sakta
Baat sun li hai meri aaj Khuda ne mere
Tu hai kis haal mein aey zood-faraamosh mere
Mujh ko tou cheen liya ahd-e-wafa ne mere
Charaah-gar yun tou bohot hain magar aai haan-e-Faraz
Juz tere aur koi gham na jaaney mere

Jis Simt Bhi Dekhun Nazar Aata Hai Ke Tum Ho - Ahmed Faraz
Jis simt bhi dekhun nazar aata hai ke tum ho
Aey jaan-e-jahaan ye koi tum sa hai ke tum ho
Ye khwaab hai, khusboo hai, ke jhonka hai ke pal hai
Ye dhund hai, baadal hai, ke saaya hai ke tum ho
Iss deed ki saa'at mein kaee rung hein larzaan
Main hun ke koi aur hai, duniya hai k tum ho
Dekho ye kisi aur ki aankhein hein ke meri
Dekhun ye kisi aur ka cehraa hai ke tum ho
Ye umr-e-guraizaan kabhi thehrai tou ye jaanun
Har saans mein mujh ko ye lagta hai k tum ho
Har bazm mein mauzoo-e-sukhan dil-zadgaan ka
Ab kaun hai, shireen hai, ke laila hai ke tum ho
Ik dard ka phela hua sahaara hai k mein hun
Ik mauj mein aaya hun, dariyaa hai k tum ho
Wo waqt na aaye ke dil-e-zaar bhi sochey
Is sheher mein tanhaa koi hum sa hai ke tum ho
Aabaad hum aashuftaa saron se nahi maqral
Ye rasm abhi sheher mein zinda hai ke tum ho
aai jaan-e-Faraz itni bhi taufeeq kisey thi
Hum ko gham-e-hasti bhi gawaara hai k tum ho

Iss Se Pehley Ke Bey-Wafa Ho Jaaein - Ahmed Faraz
Iss se pehley ke bey-wafa ho jaaein
Kiun na aey dost, hum juda ho jaaein
Tu kabhi heeray se ban gaya pathar
Hum bhi kal kia se kia ho jaaein
Hum bhi majbooriyon ka uzr karein
Aur kaheen aur mubtala ho jaaein
Ishq bhi khel hai naseebon ka
Khaak ho jaaein, keemiya ho jaaein
Ab ke gar tu miley tou hum tujh se
Aisey liptein teri qabaa ho jaaein
Bandagi hum ne chor di hai Faraz
Kia karein log jab Khuda ho jaaein
Kiun na aey dost, hum juda ho jaaein
Tu kabhi heeray se ban gaya pathar
Hum bhi kal kia se kia ho jaaein
Hum bhi majbooriyon ka uzr karein
Aur kaheen aur mubtala ho jaaein
Ishq bhi khel hai naseebon ka
Khaak ho jaaein, keemiya ho jaaein
Ab ke gar tu miley tou hum tujh se
Aisey liptein teri qabaa ho jaaein
Bandagi hum ne chor di hai Faraz
Kia karein log jab Khuda ho jaaein
Iss Qadar Musalsal Theen Shiddatein Judaai Ki - Ahmed Faraz
Iss qadar musalsal theen, shiddatein judaai ki
Aaj pehli baar main ne, us se bey-wafaai ki
Warna ab talak yun tha khwaahishon ki baarish mein
Ya tou toot kar roya, ya ghzal-saraai ki
Taaj diya tha kal jin ko hum ne teri chaahat mein
Aaj un se majbooran taaza aashnaai ki
Ho chala tha jab mujh ko ikhtalaaf apne se
Tu ne kis ghari zaalim, meri ham-nawaai ki
Tanz-o-taana-o-tohmat, sab hunar hain naaseh ke
Aap se koi puchey, hum ne kia buraai ki
Phir qafas mein shor utha, qiadiyon ka aur Syed
Dekhna uraa dega phir khabar rehaai ki

Iss Daur-e-Bey-Junoon Ki Kahaani Koi Likho
Iss daur-e-bey-junoon ki kahaani koi likho
Jismon ko burf, khoon ko paani koi likho
Koi kaho ke haath qalam kis tarah huey
Koi ruk gaey qalam ki rawaani, koi likho
Kiun ahl-e-shauq sar-ba-giraibaan hain dosto
Kiun khoon-ba-dil hai, ahd-e-jawaani koi likho
Kiu surma-dar-guloo hai har aik taayar-e-sikhan
Kiun gulistaan qafas ka hai saani koi likho
Haan taza saanehon ka karey kaun intezaar
Haan dil ki waardaat puraani koi likho

Inhi Khush-Gumaaniyon Mein Kahin Jaan Se Bhi Na Jaao - Ahmed Faraz
Inhi khush-gumaaniyon mein kahin jaan se bhi na jaao
Wo jo chaarah-gar nahi hai, usey zakhm kiun dhikaao
Ye udaasiyon ke mausam, kahin raaegaan na jaaein
Kisi zakhm ko kuraido, kisi dard ko jagaao
Wo kahaniyaan adhoori jo na ho sakeingi puri
Unhein main bhi kin sunaaun, unhein tum bhi kiun sunaao
Mere hum-safar puraaney, mere a bhi muntazir hain
Tumein saath chorna hai, tou abhi se chor jao
Ye judaaiyon ke rastey, bari duur tak gaey hein
Jo gaya wo phir na lauta, meri baat maan jaao
Kisi bey-wafa ki khaatir, ye junoon Faraz kab tak
Jo tumhein bhula chuka hai, usey tum bhi bhool jaao

Hui Hay Shaam Tou Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu - Ahmed Faraz
Hui hai shaam tou aankhon mein bas gaya phir tu
kahaan gaya hai mere sheher ke musaafir tu
Bohot udaas hai ik shakhs tere jaaney se
Jo ho sakey tou chalaa aa usi ki khaatir tu
Meri misaal ke ik nakhl-e-khushk sehraa hun
Tera khayaal ke shaakh0-e-chaman ka taa'ir hun
Main jaanta hun k duniyaa tujhe badal dey gi
Main maanta hun ke aisa nahi bazaahir tu
hansi khushi se bichar jaa agar bicharna hai
Ye har maqaam pe kia sochta hai aakhir tu
Faraz tu ne usey mushkilon mein daal diya
Zamaana saahib-e-zar aur sirf shaayar tu

Hawa Ke Zor Se Pindaar-e-Baam-o-Dar Bhi Gaya - Ahmed Faraz
Hawa ke khauf se pindaar-e-baam-o-dar bhi gaya
Chirraagh ko jo bachatey thay un ka ghar bhi gaya
Pukaartey rahey mehfooz kashtiyon waley
Main doobta hua dariyaa ke paar utar bhi gaya
Ab ehtiyaat ki deewaar kia uthaatey ho
Jo chor dil mein chupa tha wo kaam kar bhi gaya
Main chup raha ke is mein thi aafiyat jaan ki
Koi tou meri tarah tha jo daar par bhi gaya
Sulagtey sochtey weeraan mausamon ki tarah
Kara tha ahd-e-jawaani magar guzar bhi gaya
Jisey bhulaa na saka, us ko yaad kia rakhta
Jo naam dil mein raha, zehen se utar hi gaya
Phati phati hui aankhon se yun na dekh mujhe
Tujhe talaash hai jis ki, wo shaks mar bhi gaya
Magar falak ki adaawat usi ke ghar se na thi
Jahaan Faraz na tha, saahil-e-gham udhar bhi gaya

Har Tamaashaai Faqat Saahil Se Manzar Dekhta - Ahmed Faraz
Har tamaashaai faqat saahil se manzar dekhta
Kaun dariyaa ko ulat-ta, kaun gauhar dekhta
Wo tou duniyaa ko meri deewaanagi khush aa gai
Tere haathon meinn wagarna pehlaa pathar dekhta
Aamkh mein aansoo jadey thay, par sada tujh ko na di
Iss tawaqau par k shayad tu palat kar dekhta
Meri qismat ki lakeerein mere haathon mein na theen
Tere maathey par koi mera muqaddar dekhta
Zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraan ki tarah
Kis ko itnaa hausala tha kaun jee kar dekhta
Doobney waala tha aur saahil pe chehron ka hujoom
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta
Tu bhi dil ko ik lahuu ki hoond samjha hai Faraz
Aankh far hoti tou qatrey mein samandar dekhta

Haath Uthey Hein Magar Lub Pe Dua Koi Nahi - Ahmed Faraz
Haath uthey hein magar lub pe dua koi nahi
Ki ibaadat bhi wo jis ki jazaa koi nahi
Ye bhi waqt aana tha ab gosh har awaaz hay
Aur mere barbaad-e-dil mein sadaa koi nahi
Aa ke ab tasleem kar lein tu nahi tou main sahi
Kaun maanega ke hum mein bewafa koi nahi
Waqt ne wo khaal uraai hai ke dil ke dasht se
Qaafiley gzuzrey hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahi
Khud ko yun mehsoor kar baithaa hun apni zaat mein
Manzilein chaaron taraf hain, raasta koi nahi
kaisey raaston se chaley aur kis jagah puhunchey Faraz
Yaa hujoom-e-dostaan tha saath yaa koi nahi

Giley Fuzool Thay Ahd-e-Wafa Ke Hotey Huey - Ahmed Faraz
Giley fuzool thay ahd-e-wafa k hotey huey
So chup rahaa sitam-e-narawaa ke hotey huey
Ye qurbaton mein ajab faasley parey ke mujhe
Hai aashnaa ki talab, aashnaa ke hotey huey
Wo hilaagar hein jo majbooriyaan shumaar karein
Chiraagh hum ne jalaaye hawa ke hotey huey
Na kar kisi pe bharosa ke kashtiyaan dobeen
Khuda ke hotey huey, naa-khudaa ke hotey huey
Kisey khabar haik kaasa-ba-dast phirte hein
Bohot se log saron par huma ke hotey huey
Faraz aisey bhi lamhey kabhi kabhi aaey
Ke dil giriftaa raha dil-rubaa ke hotey huey

Faraz Ab Koi Saudaa Koi Junoon Bhi Nahi - Ahmd Faraz
Faraz ab koi Saudaa, koi junoon bhi nahi
Magar qaraar se din kat rahey hon, yun bhi nahi
Lub-o-Dehen bhi milaa, guftagu ka fun bhi mila
Magar jo dil pe guzarti hai ke sukoon bhi nahi
Meri zubaan ki luknat se bud-gumaan na ho
Jo tu kahey tou tujhe umar bhar miloon bhi nahi
Faraz jesey koi diyaa turbat-e-hawaa chaahey hai
Tu paas aaey tou mumkin ai main rahoon bhi nahi

Dukh Fasaana Nahi Ke Tujh Se Kahein - Ahmed Faraz
Dukh fasaana nahi ke tujh se kahein
Dil bhi maana nahi ke tujh se kahein
Aaj tak apni bey-kali ka sabab
Khud bhi jaana nahi ke tujh se kahein
Aik tu harf-aashna tha magar
Ab zamaana nahi ke tujh se kahein
Bey-tarah dil hai aur tujh se
Dostaana nahi ke tujh se kahein
Aey Kudaa dard-e-dilhai bakhshish-e-dost
Aab-o-daana nahi ke tujh se kahein

Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhaaney Waala - Ahmed Faraz
Dost ban kar bhi nahi saath nibhaaney waala
Wohi andaaz hai zaalim ka zamaaney waala
Ab isey log samajhtey hain firaftaar mera
Sakht naadin hai mujhe daam mein laaey wala
Kia kahein kitney maraasim thay hamaarey is se
Wo jo ik shakhs hai munh pher k jaaney waala
Tere hotey huey aa jaata thi saari duniyaa
Aaj tanhaa hun tou ko nahi aaney waala
Muntazir kis ka hun tooti hui dehleez pe main
Kaun aaey ga yahaan, kaun hai aaney waala
Main ne dekhaa hai bahaaron mein chaman ki jaltey
Hai koi khwaab ki taabeer bataaney waala
Kia Khabar thi jo meri jaan mein ghulaa hai itnaa
Hai wohi mujh ko sar-e-daar bhi laaney wala
Tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhtey ho Faraz
Dost hota nahi har hath milaaney waala

Dil Bhi Bujhaa Ho Shaam Ki Parchaaiyaan Bhi Hon - Ahmed Faraz
Dil bhi bhujaa ho shaam ki parchaaiyaan bhi hon
Mar jaaiye jo aise mein tanhaaiyaan bhi hon
Aankhon ki srkh lahar hay mauj-e-supardagee
Ye kia zaroori hai ke ab angraaiyaan bhi hon
Har husn-e-sadaa lau na dil mein utar saka
kuch tou muzaaj-e-yaar mein gehraaiyaan bhi hein
Duniyaa ke tabsarey tou tabiat hi ley bujhey
Baat us ki ho tou phir sukhn-aaraaiyaan bhi hein
Pehley pehel ka ishq abhi yaad hai Faraz
Dil khud ye chaahata hai ke ruswaaniyaan bhi hon

Cherey Main Ne Kabhi Lub-o-Gulzaar Ke Qissey
Cherey main ne kabhi la\ub-o-rukhsaar ke qissey
Gahey gul-bul-bul ki hikaayat ko nikhaara
Gahey kisi shahzaadey ke afsaaney sunaaey
Gahey kiya dunyaa-e-paristaan ka nazaara
Main khoya raha jinn-o-malaaik ke jahaan mein
Har lahaja agarchey mujhe aadam ne pukaara
Barson yunhi dil-jama'ai-e-aurang ki khaatir
Sau phool khilaaey kabhi sau zakhm khareedey
Main likhta raha hijv baghaawat manshoon ki
Main parhta raha qasr-nasheenon ke qaseedey
Ubharna bhi agar dil mein koi jazbaa-e-sar-kash
Iss khauf se chup tha ke koi hont na see dey
Lekin ye telismaat bhi taa-dair na reh paaey
Aakhir mae-o-mena-o-daf-o-chang bhi tootey
Yun dast-o-giraibaan hua insaan-o-khudabund
Nakcheer tou tarpey qafas-e-rung bhi tootay
Iss qashmakash-e-zaara-o-anjum ki fizaa mein
Kashkol tou kia afsar-o-aurang bhi tootey
Maein dekh raha tha mere yaaron ne barh kar
Qaartil ko pukaara kahi maqtal ko saza di
Gahey rasn-o-daar ke aaghosh mein jhooley
Gaahey haram-o-dair ki deewar hila di
Jis aag se bharpoor tha maahol ka seena
Wo aag mere lauh-o-qalam ko bhi pilaa di
Aur aaj shikastaa hua har tauq-e-talaai
Ab funn mera darbaar ki jaageer nahi hai
Ab mera husn hai merey jamhoor ki daulat
Ab mera junoon kaif-e-taazeer nahi hai
Ab dil pe jo guzrey ki bey-tauq kahun ga
Ab mere qalam mein koi zanjeer nahi hai

Bey-Neyaaz-e-Gham-e-Paimaan-e-Wafa Ho Jaana - Ahmed Faraz
Bey-neyaaz-e-gham-e-paimaan-e-wafa o jaana
Tum bhi auron ki tarah mujh se judaa ho jaana
Mein bhi palkon pe sajaa lunga lahoo ki boondein
Tum bhi paabasta-e-zanjeer-e-hina ho jaana
Khalq ki sung-zani meri khataaon ka sila
Tum tou mausam ho, tum duur zara ho jaana
Ab mere waastey tariyaaq hai ilhaad ka zeher
Tum kisi aur pujaari ke khuda ho jaana

Barson Ke Baad Dekha Ik Shaks Dil-Ruba Sa - Ahmed Faraz
Barson ke baad dekha, ik shaks dil-ruba sa
Ab zehen mein nahi hai, par naam tha bhalaa sa
Abaroo khinchey khinchey sey, aankhein jhuki jhuki si
Baatein ruki ruki si, lehjaa thaka thaka sa
Alfaaz thay k jugnoo, awaaz ke safar mein
Ban jaaey jangalon mein, jis tarah raasta sa
Khwaabon mein khwaab us ke, yaadon mein yaad us ki
Neendon mein ghul gaya ho, jaisey ke rat-jagaa sa
Pehley bhi log aaey, kitne hi zindagi mein
Wo har tarah se lekin, auron se tha judaa sa
Agli mohabbaaton ne, wo naa-muraadiyaan deen
Taaza rafaaqaton se, dil tha dara dara sea
Kuch ye k muddaton se, ham bhi nahi thay roey
Kuch zeher mein bujhaa tha, ahbaab ka dilaasa
Phir yun hua ke saawan aankhon mein aa basey thay
Phir yun hua ke jesey, dil bhi tha aabalaa sa
Ab sach kahein tou yaaro, hum ko khabar nahi thi
Ban jaaega qayaamat, ik waaqeya zara sa
Taiwar thay bey-rukhi ke, andaaz dosti ke
Wo anabi tha lekin, lagta tha aashna sa
Hum dasht thay k dariyaa, hum zeher thay k amreet
Naa-haq tha zonam ham ko, jab wo nahi tha piyaasa
Hum ne bhi us ko dekha, kal shaam ittefaaqan
Apna bhi haal hai ab, logo Faraz ka sa

Badan Mein Aag Si Chehra Gulaab Jesa Hai - Ahmed Faraz
Badan mein aag si chehra Gulaab jesa haai
Ke Zeher-e-gham ka nashaa bhi sharaab jesa hai
Kahan wo qurb ke ab tou ye haal hai jesey
Tere firaaq ka aalam bhi khwaab jesa hai
Magar kabhi koi dekhey, koi parhey tou sahi
Dil aaina hai tou chehra kitaab jesa hay
Wo saamney hai magar tishnagi nahi jaati
Ye kia sitam hai ke daryaa sharaab jesa hai
Faraz sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
Hamein azeez hai, khaan-kharaab jesa hai

Aisey Chup Hein Ke Manzil Bhi Kari Ho Jesey - Ahmed Faraz
Aisey chup hein ke manzil bhi kari ho jesey
Tera milnaa bhi judaai ki ghari ho jesey
Apney hi saaey se har gaam laraz jaata hun
Raastey mein koi deewaar khari ho jesey
Manzilein duur bhi hein, manzilein nazdeek bhi hein
Apne hi paaun mein zanjeer pari ho jesey
Kitney naadaan hein tere bhulaaney waley k tujhe
Yaad karne k liye umar pari ho jesey
Aaj dil khol ke roey hein tou yuun khush hai Faraz
Chund lamhon ki ye raahat bhi bari ho jesey

Ab Naey Saal Ki Mohabbat Nahi Milney Waali - Ahmed Faraz
Ab naey saal ki mohabbat nahi milney waali
Aa chukey ab tou shab-o-roz azaabon waley
Ab tou sab dashna-o-khanjar ki zubaan boltey hein
Ab kahaan log mohabbat key nisaabon waley
Zinda rehne ki tamanna ho tou jaatey hein
Faakhtaaon ke bhi kirdaar ukaabon waley
Na mere zakhm khuley hein na tera rung-e-hinaa
Mausam aaey hi nahi ab ke gulaabon waley

Saturday, March 28, 2015
Ab Kis Ka Jashn Manaatey Ho, Us Dais Ka Jo Taqseem Hua - Ahmed Faraz
Ab kis ka jashn manaatey ho, us dais ka jo taqseem hua
Ab kis ka geet sunaatey ho, us tun mun ka jo do-neem hua
Us ka khwaab ka jo raiza raiza un ankhon ki taqdeer hua
Us naam ka jo tukraa tukraa galiyon mein bey-tauqeer hua
Us parcham ka jis ki hurmat bazaaron mein neelaam hui
Us mitti ka jis ki hurmat munsab udu k naam hui
Us jang ko jo tum haar chukey, us rasm ka jo jaari bhi nahi
Us zakhm ka jo seenaey pe na thaa, us jaan ka jo waari bhi nahi
Us khoon ka jo bud-qismat tha, raahon mein bahaaya, tun mein raha
Us phool ka jo bey-qeemat tha, aangan mein khilaaya, bun mein raha
Us mashriq ka jis ko tum ne naizey ki anee marham samjha
Us maghrib ka jis ko tum ne jitna bhi loota, kam samjha
Un maasoomon ka jin k lahoo se tum ne farozaan raatein keen
Yaa un mazloomon ka jis ne khanjar ki zubaan mein baatein keen
Us Mariyam ka, jis ki izzat lut-ti hai bharey baazaaron mein
Us Eesa ka jo qaatil hai aur shaamil hai gham-khuaaron mein
In nohaagaron ka jin ne hamein khud qatal kiya, khud rotey hein
Aisey bhi kaheen dum-saaz huey, aisey jallaad bhi hotey hein
Un bhookey nangey dhaanchon ka jo raqs sar-e-bazaar karein
Yaa un bey-bas laachaaron ka, jo aur bhi dukh ka nishaana huey
Is shaahi ka jo dast-ba-dast aai hai tumharey hissey mein
Kiu nang-e-watan ki baat karo, kia rakha hai is qissey mein
Aankhon mein chupaaey ashkon ko honton mein wafa ke bol liye
Iss jashn mein bhi shaamil hun, nohon se bhara kashkol liye

Ab Ke Tajdeed-e-Wafa Ka Nahi Imkaan Jaanaan - Ahmed Faraz
Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jaanaan
Yaad kia tujh ko dilaaein tera paimaan jaanaan
Yun hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai
Kis qadar jald badal jaatey hein insaan jaanaan
Zindagi teri ataa thi so tere naam ki hai
Hum ne jesey bhi basar ki, tera ehsaan jaanaan
Dil ye kehta hai ke shaayad ho fasurda tu bhi
Dil ki kia baat karein, dil tou hai naadaan jaanaan
Avval-avval ki mohabbat ke nashey yaad tou kar
Bey-piye bhi tera chehra tha gulistaan jaanaan
Aakhi aakhir tou ye aalam hai ke ab hosh nahi
Rag-e-meenaan sulag uthi thi rag-e-jaan jaanaan
Muddatton se ye aalam, na tawwaqau, na ummeed
Dil pukaarey hi chala jaata hai jaanaan jaanaan
Hum bhi kia saada thay, hum ne bhi samajh rakha tha
Gham-e-dauraan se juda hai, gham-e-jaanaan, jaanaan
Ab ke kuch aisi saji mehfil-e-yaaraan jaana
Sar-ba-zaanu hai tou koi sar-ba-giraibaan jaanaan
Har koi apni hi aawaaz se kaamp uthta hai
Har koi apney hi saaey sey hiraasaan jaanaan
Jis ko dekho wohi zanjeer-bapa lagta hai
Sheher ka sheher hua daakhil-e-zindaan jaanaan
Ab tera zikar bhi shaayad hi ghazal mein aaey
Aur se aur hua dard ka unwaan jaanaan
Hum ke roothi hui rut ko bhi mana lete thay
Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jaanaan
Hosh aaya tou abhi khuaab thay raizaa-raizaa
Jaisey urtay huey auraaq-e-paraishaan jaanan

Ab Ke Rut Badli Tou Khushboo Ka Safar Dekhe Ga Kaun - Ahmed Faraz
Ab ke rut badli tou khushboo ka safar dekhe ga kaun
Zakhm phoolon ki tarah mehkein gey par dekhe ga kaun
Dekhna sab raqs-e-bismil mein magan ho jaein gey
Jis taraf se teer aaey ga udhar dekhey ga kaun
Wo hawas ho, ya wafa ho, baat mehroomi ki hai
Log tou phal phool dekhin gey, shajar dekhey ga kaun
Hum chiraagh-e-shab hi jab thehrey tou phir kia sochna
Raat thi kis ka muqaddar, aur sahar dekhe ga kaun
Aa faseel-e-sheher se dekhin ghaneem-e-sheher ko
Sheher jalta ho tou tujh ko baam par dekhe ga kaun

Ab Ke Hum Bichrey Tou Shayad Kabhi Khuaabon Mein Milein - Ahmed Faraz
Ab k hum bichrey tou shayad kabhi khuaabon mein milein
Jis tarah sookhey huey phool kitaabon mein milein
Dhoond ujrey huey logon mein wafa k moti
Ye khazaaney tujhe mumkin hai kharaabon mein milein
Gham-e-duniyaa bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
Nasha barhta hai sharaabein jo sharaabon mein milein
Aaj hum daar pe khainchey gaey jin baaton par
Kia ajab kal wo zamaanon ko nisaabon mein milein
Ab na wo mein hun, na tu hai, na wo maazi hai Faraz
Jaise do shakhs tammanna ke saraabon mein milein

Aankh Se Duur Na Ho, Dil Se Utar Jaaey Ga - Ahmed Faraz
Aankh se duur na ho, dil se utar jaaey ga
Waqt ka kia hai, guzarta hai, guzar jaaey ga
Itna maanoos na ho, khilwat-e-gham se apni
Tu kabhi khud ko bhi dekhe ga tou dar jaaey ga
Tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaao gey
Aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaaey ga
Zindagi teri ataa hai tou ye jaaney waala
Teri bakhshish teri dehleez pe dhar jaaey ga
Doobtey doobtey kashti tou uchaala dey dun
Main nahi, koi tou saahil pe utar jaaey ga
Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat ka Faraz
Zaalim ab ke bhi na rooey ga tou mar jaaey ga

Aashiqi Bey-Dili Se Behtar Hai - Ahmed Faraz
Aashiqi bey-dili se mushkil hai
Phir mohabbat usi sey mushkil hai
Ishq aaghaaz hi sey mushkil
Sabr karaana abhi se mushkil hai
Hum aasaan hein, aur hamaarey liye
Dushmani dosti se mushkil hai
Jis ko sab bey-wafa samajhtey hon
Bey-wafaai usi se mushkil hai
Aik ko dusrey se sehel na jaan
Har koi har kisi se mushkil hai
Tu ba-zid hai tou ja Faraz magar
Waapsi us gali se mushkil hai
Phir mohabbat usi sey mushkil hai
Ishq aaghaaz hi sey mushkil
Sabr karaana abhi se mushkil hai
Hum aasaan hein, aur hamaarey liye
Dushmani dosti se mushkil hai
Jis ko sab bey-wafa samajhtey hon
Bey-wafaai usi se mushkil hai
Aik ko dusrey se sehel na jaan
Har koi har kisi se mushkil hai
Tu ba-zid hai tou ja Faraz magar
Waapsi us gali se mushkil hai
Friday, March 27, 2015
Ghar Jab Bana Liya Hai Mere Dar Par Kahey Baghair - Mirza Ghalib
Ghar jab bana liya hai mere dar par kahey baghair
Jaaney ga ab bhi tu na mera ghar kahey baghair
Kehtey hein jab raahi na mujhe taaqat-e-sukhan
Jaanoon kisi ke dil ki main kiun kar, kahey baghair
Kaam us se aa para hai ke jis ka jahana mein
Levey na koi naam sitamgar kahey baghir
Choorunga main na us but-e-kaafir ko poojna
Chorey na khalq go mujhe kaafir kahey baghair
Maqsad hai naaz-o-ghamza waaley guftagu mein kaam
Chalta nahi hai dashna-o-khanjar kahey baghair
Ha-chund ho mushaahida-e-haq ki guftagu
Banti nahi hai badaa-o-saaghir kahey baghiar
Behraa hun main tou chaahiye doona ho iltafaat
Sunta nahi hun baat muqarrar kahey baghair
Ghalib na kar huzoor mein tu baar baar arz
Zaahir hai tera haal sab un par, kahey baghir

Ghar Hamaara Jo Na Rotey Bhi, Tou Veeraan Hota - Mirza Ghalib
Ghar hamaara, jo na rotey bhi tou veeraan hota
Behr gar Behr na hota tou bayaabaan hota
Tundi-e-dil ka gilaa kia, ye wo kaafir dil hai
Ke agar tung na hota tou pareshaan hota
Baad-e-yak umr-e-waraa, baar tou deta baarey
Kaash Rizwaan hi dar-e-yaar ka darbaan hota

Ghair Lein Mehfil Mein Bosey Jaam Ke - Mirza Ghalib
Ghair lein mehfil mein bosey jaam ke
Hum rahein yun tashnaa-lub paighaam ke
Khastagi ka tum se kia shikwa ke ye
Huth-kandey hein charkh-e-neeli-faam ke
Khat likhein gey garchey matlab kuch na ho
Hum tou aashiq hein tumhare naam ke
Raat pi zam-zam pe mae aur subh-dum
Dhoey dhabbey jaamaa-e-ahraam ke
Dil ko aankhon ne phansaaya kia magar
Ye bhi halqay hain tumharey daam ke
Shaah ke hay ghusl-e-sehat ki khabar
Dekhiye din kab phiren hammaam ke
Ishq ne Ghalib nikamma kar diya
Warna hum bhi aadmi thay kaam ke

Gaee Wo Baat Ki Ho Guftagu Tou Kiun Kar Ho - Mirza Ghalib
Gaee wo baat ki ho guftagu tou kiun kar ho
Kaheen se kuch na hua, phir kaho tou kiun kar ho
Hamarey zehen mein is fikar ka hai naam visaal
Ke gar na ho tou kahan jaaein, ho tou kiun kar ho
Adab hai aur yahee kash-makash tou kia ki jiye
Hayaa hai aur yahee go-mago tou kiun kar ho
Tumhi kaho k guzaara sanam-paraston ka
Butoon ki ho agar aisi hi khoo tou kiun kar ho
Ulajhtey ho tum agar dekhtey ho aaina
Jo tum se sheher mein ho aik, do tou kiun kar ho
Jisey naseeb ho roz-e-siyaah mera saa
Wo shakhs din na kahey raat ko, tou kiu kar ho
hamein phir un se ummeed aur unhein hamaari qadr
Hamaari baat hi puchey na wo tou kiun kar ho
Ghalat na tha hamein khat par gumaan tassalli ka
Na maaney deeda-e-deedaar jun tou kiun kar ho
Bataao us mishaa ko dekh kar ho mujh ko qaraar
Ye naish ho rag-e-jaan mein faro tou kiun kar ho
Mujhe junoon nahi Ghalib, waley baqaul-e-huzoor
Firaaq-e-yaar mein taskeen ho tou kiun kar ho

Aik AIk Qatrey Ka Mujhe Dena Para Hisaab - Mirza Ghalib
Aik aik qatrey ka mujhe dena para hisaab
Khoon-e-jigar wadiyyat-e-mishgaan-e-yaar tha
Ab main hun aur maatam-e-yak Shahar-e-aarzoo
Torra jo tu ne aaina, timasaal daar tha
Galiyon mein meri naash ko khainchey phiro ke main
jaan-daad-e-hawa-e-sar-e-rahguzaar tha
Mauj-e-sharaab-e-dasht-e-wafa ka na puuch haal
Har zarra misl-e-johar-e-teg aab-daar tha
Kam jaantey thay hum bhi gham-e-ishq ko par ab
Dekha tou kam huey, pa gham-e-rozgaar tha

Diya Hai Dil Agar Us Ko, Bashar Hay Kia Kahiye - Mirza Ghalib
Diya hai dil agar us ko, bashar hai kia kahiye
Hua raqeeb hai tou ho, naamabar hai kia kahiye
Ye zidd key aaj naa aavey aur aaey bin na rahey
Qazaa se shikwa hamein kis qadar hai kia kahiye
Rahey hein yuun gaah-o-begaah ke koo-e-dost ko ab
Agar na kahiye ke dushman ka ghar hai, kia kahiye
Zah-e-karishma ke yun dey rakha hai hum ko faraib
Ke bin kahey hi unhein sab khabar hai kia kahiye
Samajh ke kartey hein bazaar mein wo pursish-e-haal
Ke ye kahey ke sar-e-rahguzar hai kia kahiye
Kahaa hai kis ne ke Ghalib bura nahi lekin
Siwaaey is ke, ke aashufta-sar hai, kia kahiye

Dil Se Teri Nigaah Jigar Tak Utar Gai - Mirza Ghalib
Dil se teri nigaah jigar tak utar gaee
Donon ko ik adaa mein raza-mund kar gaee
Shaq ho gaya hai seena khushaa lazzat-e-faraagh
Takleef-e-pardah-daari-e-zakhm-e-jigar gaee
Wo badaa-e-shabaana ki sar-mastiyaan
Uthiye bas ab ke lazzat-e-khuaab-e-seher gaee
Urti phirey hai khaak meri koo-e-yaar mein
Baarey ab aai hawa, hawas-e-baal-o-par gaee
Dekho tou dil-faraibi-e-andaaz-e-naqsh-e-paa
Mauj-e-khiraam-e-yaar bhi kia gul katar gaee
Har bulahawas ne husn-parasti shu'aar ki
Ab aabroo-e-shiva-e-ahl-e-nazar gaee
Nazaarey ne bhi kaam kiya waan naqaab ka
Masti se har nigaah tere rukh par bikhar gaee
Farda-o-deen ka tafarruqa yak-baar mitt gaya
Kal tum gaey k hum pe qayaamat guzar gaee
Maara zamaaney ne Asad Ullah Khan tujhe
Wo walwaley kahaan, wo jawaani kidhar gaee

Dil Hi Tou Hai Na Sung-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aaey Kiun - Mirza Ghalib
Dil hi tou hai, na sung-o-khisht, dard se bhar na aaey kiun
Roein gey hum hazaar baar, koi hamein sataaey kiun
Dair nahi, haram nahi, dar nahi, aastaan nahi
Baithey hein reh-guzar pe hum, ghair hamein uthaaey kiun
Jab wo jamaal-e-dil-afroz, surat-e-mehr-e-miroz
Aap hi ho nazaara-soz, pardey mein munh chupaaey kiun
Dashna-e-Ghamza jaan-sitaan, naawak-e-naaz bey-panaah
Tera hi aks-e-rukh sahi, samney tere aaey kiun
Qaiyd-e-hayaat-o-bund-e-gham, asal mein donon aik hein
Maut se pehle aadmi, gham se nijaat paaey kiun
Husn aur us pe husn-e-zan, reh gai bulahawas ki sharm
Apne aitamaad hai, ghair ko aazmaaey kiun
Waan wo ghuroor-e-izz-o-naaz, yaan ye hijaab-e-paas waz'aa
Raah mein hum milein kahaan, bazaar mein wo bulaaey kiun
Ghalib-e-khasta k baghair, kaun se kaam bund hein
Rooiyye zaar zaar kia, ki jiye haaey haaey kiun

Dhota Hun Jab Main Peeney Ko - Mirza Ghalib
Dhota hun jab main peeney ko us seematan k paaun
Rakhta hai zidd se khainck kar bahar lagan k paaun
Di saadagi se jaan parun koh-kan ke paaun
Hain hath kiun na toot gaye peerazaan k paaun
Bhaagey thay hum bohot, so usi ki saza hai ye
Ho kar aseer dabaatey hein raah-zan k paaun
Marham ki justajoo mein phira hun jo duur duur
Tan se siwaa-figaar hein iss khasta-tan k paaun
Allah rey zauq-e-dastan wardi ke ba'ad-e-marg
Hiltey hein khud-ba-khud mere andar kafan ke paaun
Hai josh-e-gul bhaar mein, yaan tak k har taraf
Urtey huey ulajhtay hein murgh-e-chaman k paaun
Shab ko kisi k khuaab mein aaya na ho kahin
Dukhte hein aaj us but-e-naazuk-badan k paun
Ghalib mere kalaam mein kiun kar maza na ho
Peeta hun Khusroo-e-shireen-sukhan k paaun

Daaem Para Hua Tere Dar Par Nahi Hun Mein - Mirza Ghalib
Daaem para hua tere dar par nahi un main
Khaak aisi zindagi pe ke pat-thar nahi hun main
Kiun gardish-e-madaam se ghabraa na jaey dil
Insaan hun, pyaala-o-saaghir nahi hun main
Yaa Rab, zamaana mujh ko mitaata hai kis liye
Lauh-e-jahaan pe harf-e-mukarrar nahi hun main
Hud caahiye saza mein aqoobat ke waastey
Aakhir gunaahgaar hun, kaafir nahi hun main
Rakhte ho tum qadam meri aankhon se kiun daraigh
Rutbey mein mahr-o-maah se kamtar nahi hun main
Karte ho mujh ko manaa-e-qadam-bos kis liye
Kia aasmaan ke bhi baraabar nahi main
Ghaalib wazeefa-khuar ho, do saakh ko dua
Wo din gaey ke kehtay thay "Naukar nahi hun main"
Chahiye Achon Ko Jitna Chahiye - Mirza Ghalib
Chahiye achon ko jitna chahiye
Ye agar chaahein tou phir kia chahiye
Sohbat-e-rindaan se waajib hay hazar
Jaa-e-mae apney ko khaincha chaahiye
Chahney ko tere kia samjhaa tha dil
Baarey ab si se bhi samjha chaahiye
Chaahney ko tere kia samjha tha dil
Baarey ab is se bhi samjha chahiye
Chaak mat kar jaib bhi, aiyyaam-e-gul
Kuch udhar ka bhi ishaara chaahiye
Dosti ka pardah hai baigaanagi
Munh chupaana ham se chorra chaahiye
Duhmani mein meri, khoya ghair ko
Kis qadar dushman hai dekha chaahiye
Apni ruswaai mein kia chalti hai sa'ee
Yaar ki hangaama-aari chaahiye
Munhashir marne pe ho jis ki ummeed
Na-ummeedi us ki dekha chaahiye
Ghaafil inn mahtal'aton k waastey
Chaahney wala bhi acha chaahiye
Chaahtey hein khoobroo'on ko Asad
Aap ki soorat ko dekha chaahiye
Ye agar chaahein tou phir kia chahiye
Sohbat-e-rindaan se waajib hay hazar
Jaa-e-mae apney ko khaincha chaahiye
Chahney ko tere kia samjhaa tha dil
Baarey ab si se bhi samjha chaahiye
Chaahney ko tere kia samjha tha dil
Baarey ab is se bhi samjha chahiye
Chaak mat kar jaib bhi, aiyyaam-e-gul
Kuch udhar ka bhi ishaara chaahiye
Dosti ka pardah hai baigaanagi
Munh chupaana ham se chorra chaahiye
Duhmani mein meri, khoya ghair ko
Kis qadar dushman hai dekha chaahiye
Apni ruswaai mein kia chalti hai sa'ee
Yaar ki hangaama-aari chaahiye
Munhashir marne pe ho jis ki ummeed
Na-ummeedi us ki dekha chaahiye
Ghaafil inn mahtal'aton k waastey
Chaahney wala bhi acha chaahiye
Chaahtey hein khoobroo'on ko Asad
Aap ki soorat ko dekha chaahiye
Thursday, March 26, 2015
Be-Aitadaaliyon Se Subak Sab Mein Hum Huey - Mirza Ghalib
Be-Aitadaaliyon se subak sab mein hum huey
Jitne ziyaada ho gaye utney hi kam huey
Pinhaan tha daam sakht qareeb aashiyaan ke
Urney na paaey thay ke gireftaar hum huey
Hasti hamari apni fanaa par daleel hai
yaan tak mittey ke aap ham apni qasam huey
Teri wafa se kia ho talaafi ki dahar mein
Tere siwa bhi hum pe bohot sey sitam huey
Likhtey rahey junoon ki hikaayaat-e-khoon-chakaan
har-chund iss mein haath hamarey qalam huey
Allah re teri tundi-e-khoo, jis k beem se
Azza-e-naala dil mein mere rizq-e-hum huey
Ahl-e-hawas ki fatah hai tark-e-nabard-e-ishq
Jo paaun uth gaey wohi un k alam huey
Naal-e-adam mein chand hamare sapurd thay
Jo waan na khinch sakey so wo yahan aa ke dum huey
Chori Asad na hum ne gadaai mein di-lagi
Saa'il huey tou aashiq-e-ahl-e-karam huey

Bohot Sahi Gham-e-Geeti Sharaab Kam Kia Hai - Mirza Ghalib
Bohot sahi gham-e-geeti sharaab kam kia hai
Ghulaam-e-saaqi-ekausar hun mujh ko gham kia hai
Tumhari tarz-o-rawish jaantey hein ham kia hai
Raqeeb par hai agar lutf tou sitam kia hay
Sukhan mein khaamaa-e-Ghalib ki aatish-afshaani
Yaqeen hai hum ko bhi lekin ab us mein dum kia hai

Baazeecha-e-Atfaal Hai Duniya Mere Aagey - Mirza Ghalib
Baaeecha-e-atfaal hai duniyaa mere aagey
Hota hai shab-o-roz, tamaasha mere aagey
Ik khel hai aurang-e-sulaimaan mere nazdeek
Ik baat hai aijaaz-e-maseeha mere aagey
Juz naam nahi soorat-e-aalaam mujhe manzoor
Juz wehem nahi nastee-e-ashiyaa mere aagey
Hota hai nehaan gard mein sehraa mere hotey
Ghitaa hai jabeen khaak pe dariyaa mere aagey
Mat puch ke kia haal hai mera tere peechey
Tu dekh k kia rung hai tera mere aagey
Sach kehte ho khud-been-o-khud-araa hun na kiun hun
Baitha hai but-e-aaina seema mere aagey
Phir dekhiye andaaz-e-gul-afshaani-e-guftaar
Rakh dey koi paimaana-e-sahba mere aagey
Nafrat ka gumaan guzrey hai, mein rashk se guzraa
Kiun kar kahun lo naam na us ka mere aagey
Hai mauj-zan ik qulzum-e-khoon, kaash yahi ho
Aata hai abhi dekhiye kia kia mere aagey
Go haath ko jumbish nahi, aankhon mein tou dum hai
Rehney do abhi saagar-o-meena mere aagey
Hum-paisha-hum-mashrab-o-hum-raaz hai mera
Ghalib ko bura kiun kaho, acha mere aagey

Wednesday, March 25, 2015
Aamon Ki Tareef Mein Masnawi - Mirza Ghalib
Han dil-e-dard-mund zamzama saaz
Kiu na kholey dar-e-khazeena-e-raaz
Khammey ka safhey par ravaan hona
Shaakh-e-Gul ka hai gul-fishaan hona
Mujh se kia poochta hai kia likhiye
Muqta-haaey khirad-fishaan likhiye
Barey aamon ka kuch bayaan ho jaaey
Khaama nasl-e-ratab-fishaan ho jaeaey
Aam ka kaam mard-e-maidaan hai
samar-o-shaakh, goov-o-chaughaan hai
Taak ke jee mein kiun rahey armaan
Aaey, ye guvi aur ye maidaan
Aam ke aagey paish jaawey khaak
Phorata hai jaley phapholey taak
Na chala jab kisi tarah maqdoor
Badaa-e-naab ban gaya angoor
Ye bhi naa chaar jee ka khona hay
Sharm se paani paani hona hai
Mujh se pucho, tumhein khabar kia hay
Aam k aagey naishakar kia hay
Na gul uss mein, na shaakh-o-burg, na baar
Jab khizaan aaey, tab ho us ki bahaar
Aur do-daai qayaas kahan
jaam-e-shireen mein ye mithaas kahan
Jaam mein hoti gar ye shireeni
'Kohakan' bewujood-e-ghamgeeni

Aamad-e-Khat se Hua Hai Sard Jo Bazaar-e-Dost - Mirza Ghalib
Aamad-e-khat se hua hai sard jo bazaar-e-dost
Dood-e-sham-e-kushtaa tha shayad khat-e-rukhsaar-e-dost
Aey dil naa aaqibat andesh, zabt-e-shauq kar
Kaun laa sakta hai taa-e-jalvaa-e-dildaar-e-dost
Khaana veeraan, saazi-e-hairat tamaasha ki jiye
Soorat-e-naqsh-e-qadam hun rasfta-e-raftaar-e-dost
Ishq mein bey-daa-e-rashq-e-ghair ne maara mujhe
Kushtaa-e-dushman hun aakhir, garcha tha beemaar-e-dost
Chashm-e-maey roshan, k us bey-dard ka dil shaad hai
Deeda-e-pur-khoon hamara, sagar-e-sarshaar-e-dost

Aaina Kiun Na Dun K Tamaasha Kahein Jisey - Mirza Ghalib
Aaina kiun na dun k tamaasha kahein jisey
Aisa kahan se laaun ke tujh sa kahein jisey
hasrat ne laa rakha teri bazm-e-khayaal mein
Guldasta-e-nigaah suweeda kahein jisey
Phoonka hai kis ne gosh-e-mohabbat mein aey Khuda
Afsoon-e-intezaar tamanna ahein jisey
Sar par hujoom-e-dard-e-ghareebi se daaliye
Wo aik musht-e-khaak ka sahara kahein jisey
Hai chashm-e-tar mein hasrat-e-dildaar se nihaan
Shauq-e-inaan gusekhta daryaa kahein jisey
Darkaar hay shiguftan-e-gul haaey aish ko
Subh-e-bahar paanbaa-e-meenaa kahein jisey
Ghalib buraa na main, jo waaiz bura kahey
Aisa bhi koi hai k sa acha kahein jisey

Aah Ko Chahiye Ik Umar Asar Honey Tak - Mirza Ghalib
Aah ko chaahiye ik umar asar honey tak
kaun jeeta hay teri zulf ke sar honey tak
Daam har mauj mein hai halqa-e-sud kaam neheng
Dekhein kia guzrey hai qatrey pe gohar honey tak
Aashiqui sabr-talab aur tamanna bekaar
Dil ka kia rung karun, khoon-e-jigar honey tak
Hum ne maana ke taghaaful na karo gey lekin
Khaak ho jaein gey hum tum khabar honey tak
Partaw-e-Khoor se hai shabnam ko fanaa ki taaleem
Main bhi hun aik inaayat ki nazar honey tak
Gham-e-hasti ka Asad, kis se ho juz marg-e-ilaaj
Sham'aa har rung mein jalti hay sahar honey tak

Aa Ke Meri Jaan Mein Qaraar Nahi Hai - Mirza Ghalib
Aa ke meri jaan mein qaraar nahi hai
Taaqat-e-bedaad-e-intezaar nahi hai
Detey hein jannat hayaat-e-deher k badley
Nasha ba-andaaz-e-khumaar nahi hai
Giriyaa nikaaley hai teri bazm se mujh ko
Haaey! ke roney pe ikhtiyaar nahi hai
Hum se abas hay gumaan-e-ranjish-e-khaatir
Khaak mein ush'shaaq ki ghubaar nahi hai
Dil se utha lutf-e-jalwa haaey ma'aani
Ghair-e-gul aaina-e-bahaar nahi hai
qatal ka mere kiya hai ahad tou baarey
Waaey, agar ahad ustawaar nahi hai
Tu ne qasam mae-kashi ki khaai hay Ghalib
Teri qasam ka kuch aitabaar nahi hai

Kabhi Naiki Bhi Us Ke Jee Mein Aa Jaye Hai Mujh Se - Mirza Ghalib
Kabhi naiki bhi us ke jee mein aa jaey hai mujh se
Jafaaein kar k apni yaad sharma jaaye hay mujh se
Khudara jazba-e-dil ki magar taseer ulti hay
Ke jitna khainchata hun, aur khaincha jaaye hai mujh se
Wo baad-e-khoo aur meri daastaan-e-ishq toolaani
Ibarat mukhtasar, qaasid bhi ghabra jaaye hai mujh se
Udhar wo bud gumaani hay, idhar ye naa tawaani hay
Na pucha jaaye hai us se, na bola jaaye hay hum se
Sambhalney dey mujhe aey naa ummeedi, kia qayaamat hai
Ke daamaan-e-khayaal-e-yaar chuuta jaayre hai mujh se
Takalluf bartaraf, naazaaragi mein bhi sahi, lekin
Wo dekha jaaye, kab ye zulm dekha jaaye hai mujh se
Huey hein paaun hi pehlay nabard-e-ishq mein zakhmi
Na bhaga jaaye hai mujh se, na thehra jaaye hay ,mujh se
Qayamat hay k howe muddai ka humsafar Ghalib
Wo kaafir hay, khuda ko bhi naa sompaa jaye hai mujh se.

Jaur Se Baaz Aaein Par Baaz Aaein Kiun - Mirza Ghalib
Jaur se baaz aaein par baaz aaein kiun
Kehtay hen hum tum ko munh dikhlaaein kiun
Raat din gardish mein hein saat aasmaan
Ho rahey ga kuch na kuch ghabraaein kia
Laag ho tou us ko hum samjhein lagaaw
Jab na ho kuch bhi, tou dhoka khaaein kia
Ho liye kiun naama bar k sath sath
Yaa Rab apne khat ko hum puhunchaaein kia
Mauj-e-Khoon sar sae guzar hi kiun na jaaey
Aastaan-e-yaar se uth jaaein kia
Umar bhar dekha kiye marne ki raah
Mar gaey par dekhiye dikhlaaein kia
Puchtey hein wo k Ghalib kaun hay
Koi batlaao k hum batlaaein kia

Gham-e-Dunya Se Gar Paai Bhi Fursat Sar Uthaaney ki - Mirza Ghalib
Gham-e-dunya se gar paai bhi fursat sar uthaaney ki
Falak ka dekhna taqreeb tere yaad aaney ki
Khulega kis tarah mazmoon mere maktab ka yaaro
Qasam khaai hay us kaafir ne kaghaz k jalaaney ki
Lipatna paraaniyaan mein shola-e-aatish ka asaan hay
Wale mushkil hay hikmat dil mein soz-e-gham chupaaney ki
Yun hi manzoor apne zakhmiiyon ka dekh aana tha
Uthey thay sair-e-gul ko dekhna shokhi bahaney ki
Hamari saadagi thi iltifaat-e-naaz par marna
Tera aana na tha zaalim, magar tamheed jaaney ki
Laqad kob-e-hawaadis ka tahammul kar nahi sakti
meri taaqat, ke zaamin thi buton k naaz uthaaney ki
Kahun kia khoobi-e-auzaag-e-ibna-e-zamaan Ghalib
Bari ki us ne, jis se hum ne ki thi baaraha naiki

Muddat Hui Hay Yaar Ko Mehmaan Kiye Huey - Mirza Ghalib
Muddat hui hay yaar ko mehmaan kiye huey
Josh-e-qadah se bazm charaaghaan kiye huey
Karta hun jama phir jigar-e-lakh-lakht ko
Arsaa hua hay daawat-e-mizshgaan kiye huey
Phir waza-e-ehtiyaat se rukne laga hai dum
Barson huey hein chaak girebaan kiye huey
Phir garm naala haaey, sharar baar hay nafas
Muddat hui hay sair-e-charaaghaan kiye huey
Phir pursish-e-jarahat-e-dil ko chalaa hay ishq
Samaan-e-sud-hazaar namak-daan kiye huey
Phir bhar raha hun khaana-e-mizshgaan ba-khoon-e-dil
Saaz-e-chaman-taraazi-e-damaan kiye huey
Bahin digar huey heni dil-o-deeda phir raqeeb
Nazaara-o-khayaal ka samaan kiye huey
Dil phir tawaafe-koo-e-malaamat ko jaaey hai
Pindaar ka sanam kadah weeraan kiye huey
Phir shauq kar raha hai khareedaar ki talab
arz-e-mataa-e-aql-o-dil-o-jaan kiye huey
Daurey hai phir har aik gul-o-laala par khayaal
Sud gul sitaan nigaah ka samaan kiye huey
Phir chaahta hun namaa-e-dildaar kholna
Jaan nazr-e-dil Ferobi-e-unwaan kiye huey
Maangey hai phir kisi ko lub-e-baam par hawas
Zulf-e-siyaah rukh pe paraishaan kiye huey
Chaahey ksi ko phir muqaabil mein aarzuu
Surmey se taiz dashnaa-e-mizshgaan kiye huey
Ik nau bhaar-e-naaz ko taakey hay phir nigaah
Chehra furoogh-e-mae se gulistaan kiye huey
Phir jee mein hay ke dar pe kisi k parey rahein
sar zar bar-e-minnat-e-darbaan kiye huey
Jee dhundta hai phir wohi fursat ke raat din
Bethay rahein rasawwur-e-jaanaa kiye huey
Ghalib hamein na chair, k phir josh-e-ashq se
Bethay hein hum tahaiyya-e-tuufaan kiye huey

Na Tha Kuch Tou Khuda Tha, Kuch Na Hota Tou Khuda Hota - Mirza Ghalib
Na tha kuch tou Khuda tha, kuch na hota tou Khuda hota
Daboya mujh ko honey ney, na hota main tou kia hota
Hua jab gham se yun bey hiss tou gham kia sar k kataaney ka
Na hota gar juda tun se, tou zaanon par dhara hota
Hui muddat k Ghalib mar gaya, par yaad aata hay
Wo har ik baat par kehna, ke yun hota tou kia hota

Nahi Hoga Yak Bayaabaan Maandagi Se Zauq Mera - Mirza Ghalib
Nahi hoga yak bayaabaan maandagi se zauq mera
Hubaab-e-mauj-e-raftaar hai, naqsh-e-qadam mera
Mohabbat thi chaman se lekin ab ye bey dimaaghi hay
Ke mauj-e-boo-e-gul se naak mein aata hai dum mera

Nahi Ke Mujh Ko Qayaamat ka Aitaqaad nahi - Mirza Ghalib
Nahi ke mujh ko qayamat ka aitaqaad nahi
Shab-e-firaaq se roz-e-jazah ziyaad nahi
Koi kahey k shab-e-mah mein kia buraai hai
Bala se aaj agar din ko abr-o-baad nahi
Jo aaun saamney un ke, tou marhaba na kahein
Jo jaun waan se kahin ko, tou kherbaad nahi
Kabhi jo yaad bhi aata hun main tou kehte hein
Ke aaj bazm mein kuch fitnaa-o-fasaad nahi
Alawa Eid k milti hai aur din bhi sharaab
Gada-e-koocha-e-maikhaana naamuraad nahi
Jahan mein ho gham-o-shaadi baham, hamen kia kaam
Diya hay hum ko khuda ne wo dil k shaad nahi
Tum un k waadey zikar un se kiun karo Ghalib
Ye kia ke tum kaho aur wo kahein k yaad nahi

Dost Gham Khuari Mein Meri Sa'ee Farmaein Gey Kia - Mirza Ghalib
Dost Gham khuari mein meri sa'ee farmaein gey kia
Zakhm k bharney talak naakhun na barh jaaein gey kia
Bey niazi hudd se guzri banda parwar kab talak
Hum kahein gey haal-e-dil aur aap farmaaein gey kia
Hazrat-e-naaseh gar aaein deedah-e-dil farsh-e-raah
Koi mujh ko ye tou samjha do k samjhaaein gey kia
Aaj waan tegh-o-kafan baandhey huey jaata hun main
Uzr mera qatl karne mein wo ab laaein gey kia
Gar kiya naaseh ne hum ko qaeid, acha yun sahi
Ye junoon-e-ishq k andaaz chutt jaeingey kia
Khaana zaad-e-zulf hein, zanjeer se bhaagein gey kia
Hein giraftaar-e-wafa zindaan se ghabraaein gey kia
Hai ab is maamoor mein qehat-e-gham-e-ulfat Asad
Hum ne ye maana ke Dilli mein rahein, khaaein gey kia

Donon Jahan Dey Ke Wo Samjhe Ye Khush Raha - Mirza Ghalib
Donon jahan dey ke wo samjhey ye khush raha
Yaan pari ye sharm ki takraar kia karein
Thak thak k har maqaam pe do chaar reh gaey
Tera pata na paaey tou naachaar kia karein
Kia Shamma ke nahi hein hawa khuaah ehl-e-bazm
Ho ghum hi jaan gudaaz tou gham khuar kia kaey

Kiun Kar Us But Se Rakhun Jaan Aziz - Mirza Ghalib
Kiun kar us but se rakhun jaan aziz
Kia nahi ha mujhe imaan aziz
Dil se nikla pa na nikla dil se
Hai tere teer ka paikaan aziz
Taab laaey hi baney gi Ghalib
Baaqiya sakht hay aur jaan aziz
Kia nahi ha mujhe imaan aziz
Dil se nikla pa na nikla dil se
Hai tere teer ka paikaan aziz
Taab laaey hi baney gi Ghalib
Baaqiya sakht hay aur jaan aziz
Dard Sey Mere Hai Tujh Ko Beqaraari Haaey Haaey - Mirza Ghalib
Dar se mere hai tujh ko beqaraari haey haey
Kia hua zaalim teri ghaflat ah'aari haey haey
Tere dil mein gar na tha aashob-e-gham ka hausla
Tu ne phir kiun ki thi meri gham-gusaari haey haey
Kiun meri gham-khuaragi ka tujh ko aaya tha khayaal
Dushmani apni thi meri dostdaari haey haey
Umar bhar ka tu ne paimaan-e-wafa baandha tou kia
umar bhar ko bhi tou nahi hay paaeydaari haey haey
Zeher lagti hay mujhe aab-o-hawwaa-e-zindagi
Yaani tujh se thi isay naa saazgaari haey haey
Gulfashaani haey naaz-e-jalwa ko kia hogaya
Khaak par hoti hay teri laala kaari haey haey
Sharm-e-ruswaai se jaa chupna naqaab-e-khaak mein
Khatm hay ulfat ki tujh par pardadaari haey haey
Khaak mein naamoos-e-paimaan-e-mohabbat mil gai
Uth gai dunya se raah-o-rasm-e-yaari haey haey
Hath hi tegh aazma k kaam se jata raha
Dil pe ik lagne la paaya zakhm kaari haey haey
Kis tarah kaatey koi shab haaey taar-e-barshigaal
Hai nazar khon karda-e-akhtar-shumaari haey haey
Gosh mahajoor-e-payaam-o-chashm mahrum-e-jamaal
ek dil, tis par ye naa-ummeedwaari haey haey
Ishq ne pakra na tha Ghlalib abhi wahshat ka rung
Reh gaya tha dil mein jo kuch zauq-e-khuaari haey haey

Dil Mera Soz-e-Nehan Se Bey-Mohaaba Jal Gaya - Mriza Ghalib
Dil mera soz-e-nehan se bey-mohaaba jal gaya
Aatish-e-Khamosh k maanind goya jal gaya
Dil mein zauq-e-wasl-o- yaad-e- yaar tak baaqi nahi
Aag is ghar mein lagi aisi k jo thaa jal gaya
Main adam se bhi parey hun, warna ghaafil baaraha
Meri aah-e-aatasheen se baal-e-manqa jal gaya
Ar kijye johar-e-andaish ki garmi kahan
Kuch khayaal aaya tha wahshat ka, key sehara jal gaya
Dil nahi tujh ko dikhaata warna daaghon ki bahaar
Iss charaghaan ka karun kia, kaarfarma jal gaya
Mein hun aur afsurdagi ki arzoo Ghalib k dil
Dekhh kar tar-e-tapaak-e-ehl-e-duniya jal gaya

Arz-e-neyaaz-e-ishq k qaabil nahi raha - Mirza Ghalib
Arz-e-neyaaz-e-ishq k qaabil nahi raha
Jis dil pe naaz tha mujhe, wo dil nahi raha
Jaata hun daagh-e-hasrat-e-hasti liay huey
Hun Shamm-e-kushta, darkhur-e-mehfil nahi raha
Marne ki aey dil, aur hi tadbeer kar ke main
Shayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil nahi raha
Ba-roo-e-shaah jehat dar-e-aainabaaz hai
Yaan imtiaz-e-naaqis-o-qaamil nahi raha
Waa kar diye hein shauq ne, band-e-naqaab-e-husn
Ghair az nigaah ab koi haael nahi raha
Go main raha raheen-e-sitam haaey rozgaar
Lekin tere khayaal se ghaafil nahi raha
Dil se hawa-e-kisht-o-wafa mitt k waan
Haasil siwaaey hasrat-e-hasil nahi raha
Bedaad-e-ishq se nahi darta magar Asad

Dil-e-Nadaan Tujhe Hua Kia Hay - Mirza Ghalib
Dil-e-nadaan tujhe hua kia hay
Aakhir iss dard ki dawa kia hay
Hum hain mushtaq aur wo bey zaar
Yaa Illaahi, ye majara kia hay
Main bhi munh mein zubaan rakhta hun
Kaash pucho k mudda'aa kia hay
Jab key tujh bin nahi koi mojood
Phir ye hungaama, aey Khuda kia hay
Ye pari-chehra log kaise hein
Ghamaza-o-Ishwa-o-adaa kia hay
Shikan-e-zulf-e-ambari kiun hay
Nigaah-e-chashm-e-surmaa saa kia hay
Sabza-o-gul kahan se aaey hein
Abr kia cheez hay, hawa kia hay
Hum ko un se wafa ki hai ummeed
Jo nahi jaantey, wafa kia hay
Han bhala kar, tera bhala hoga
Aur durwaish ki dua kia hay
Jaan tum par nisaar karta hun
Main nahi jaanta dua kia hay
Main ne maana k kuch nahi Ghalib
Muft haath aaey tou bura kia hay
Aakhir iss dard ki dawa kia hay
Hum hain mushtaq aur wo bey zaar
Yaa Illaahi, ye majara kia hay
Main bhi munh mein zubaan rakhta hun
Kaash pucho k mudda'aa kia hay
Jab key tujh bin nahi koi mojood
Phir ye hungaama, aey Khuda kia hay
Ye pari-chehra log kaise hein
Ghamaza-o-Ishwa-o-adaa kia hay
Shikan-e-zulf-e-ambari kiun hay
Nigaah-e-chashm-e-surmaa saa kia hay
Sabza-o-gul kahan se aaey hein
Abr kia cheez hay, hawa kia hay
Hum ko un se wafa ki hai ummeed
Jo nahi jaantey, wafa kia hay
Han bhala kar, tera bhala hoga
Aur durwaish ki dua kia hay
Jaan tum par nisaar karta hun
Main nahi jaanta dua kia hay
Main ne maana k kuch nahi Ghalib
Muft haath aaey tou bura kia hay
Dard Minnat Kash-e-Dawa Na Hua - Mirza Ghalib
Dar minnat kash-e-dawa na hua
Main na acha hu, bura na hua
Jama karaatey ho kiun raqeebon ko
Ik tamaasha hua, gila na hua
Ham kahan qismat aazmaaney jaaein
Tu hi ka khanjar aazma na hua
Kitne sheereen hain tere lub kay raqeeb
Gaaliyaan kha k bey mazaa na hua
Hai khabar garm, un k aney ki
Aaj hi ghar mein briya na hua
Kia wo Namrood ki khudaai thi
Bandagi mein mera bhala na hua
Jaan di, di hui usi ki thi
Haq tou yun hai k haq adaa na hua
Zakhm gar dab gaya, lahoo na thama
Kaam gar ruk gaya, rawa na hua
Rah zani hay, k dil-sitaani hay
Ley k dil, dil-sitaan rawa na hua
Kuch tou parhiye, k log kehte hain
Aaj Ghali ghazal-sara na hua.
Main na acha hu, bura na hua
Jama karaatey ho kiun raqeebon ko
Ik tamaasha hua, gila na hua
Ham kahan qismat aazmaaney jaaein
Tu hi ka khanjar aazma na hua
Kitne sheereen hain tere lub kay raqeeb
Gaaliyaan kha k bey mazaa na hua
Hai khabar garm, un k aney ki
Aaj hi ghar mein briya na hua
Kia wo Namrood ki khudaai thi
Bandagi mein mera bhala na hua
Jaan di, di hui usi ki thi
Haq tou yun hai k haq adaa na hua
Zakhm gar dab gaya, lahoo na thama
Kaam gar ruk gaya, rawa na hua
Rah zani hay, k dil-sitaani hay
Ley k dil, dil-sitaan rawa na hua
Kuch tou parhiye, k log kehte hain
Aaj Ghali ghazal-sara na hua.
Koi Umeed Bar Naheen Aati - Mirza Ghalib
Koi ummeed bar nahin aati
Koi soorat nazar nahi aati
Maut ka aik din mauai-yin hay
Neend kiun raat bhar nahhi aati
Aagey aati thi haal-e-dil pe hansi
Ab kisi baat par nahi aati
Jaanta hun sawaab-e-taa'at-o-zohod
Par tabiat udhar nahi aati
Hai kuch aisi hi baat jo chup hun
Warna kia baat kar nahi aati
Kiun na cheekhoon k yaad kartey hein
Meri awaaz gar nahi aati
Daagh-e-dil gar nazar nahi aata
Boo bhi aey charah gar nahi aati
Hum wahan hein jahan se hum ko bi
Kuch hamari khabar nahi aati
Marte hain aarzoo mein marne ki
Maut aati hay, par nahi aati
Kaabah kis munh se jao gey Ghalib?
Sharam tum ko magar nahi aati
Koi soorat nazar nahi aati
Maut ka aik din mauai-yin hay
Neend kiun raat bhar nahhi aati
Aagey aati thi haal-e-dil pe hansi
Ab kisi baat par nahi aati
Jaanta hun sawaab-e-taa'at-o-zohod
Par tabiat udhar nahi aati
Hai kuch aisi hi baat jo chup hun
Warna kia baat kar nahi aati
Kiun na cheekhoon k yaad kartey hein
Meri awaaz gar nahi aati
Daagh-e-dil gar nazar nahi aata
Boo bhi aey charah gar nahi aati
Hum wahan hein jahan se hum ko bi
Kuch hamari khabar nahi aati
Marte hain aarzoo mein marne ki
Maut aati hay, par nahi aati
Kaabah kis munh se jao gey Ghalib?
Sharam tum ko magar nahi aati